Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadMicorsoft Windows ke sarfeen ke liye buri khabar

Micorsoft Windows ke sarfeen ke liye buri khabar

New Delhi: Micorsoft Windows7 istemaal karne walay sarfeen ke liye buri khabar hai kyun kay yeh operating system chand dinoun mein qissa Parinah ho jayega. 14 January 2020 ke baad Micorsoft ki janib se windows7 koi technical madad haasil nahi kar paye ga aur is mein kisi qisam ki security update bhi nahi di jaye gi. rawan haftay Micorsoft ki janib se elaan kar diya gaya ke woh window7 ki technical madad faraham karne ki sahuliyaat khatam kar rahi hai .

Micorsoft company ki janib se is elaan ke baad windows7 –apne 10 saal ki takmeel ke sath hi qissa Parinah ho jayega kyun kay company ki janib se windows7 ko technicial madad faraham karne mein Adam dilchaspi ka ek ahem maqsad yeh hai ke company ki janib se mutaarif kardah windows10 ko mazeed wusat dena hai.

Is waqt duniya bhar mein windows10 istemaal karne walay sarfeen ki tadaad kayi million se ziyada hai jabkay 800 million se ziyada devices par windows10 istemaal kiya ja raha hai aur Micorsoft intizamia chahta hai ke naye operating system windows10 ko ziyada se ziyada farogh diya jasakay .