Wednesday, May 1, 2024
HomeOthersTechnologyMicorsoft jald-az-jald Corona teeka faraham karne ka khwahan

Micorsoft jald-az-jald Corona teeka faraham karne ka khwahan

New York: Is waqt 100 se zayed Coronavirus Vaccines ki tayari par kaam horaha hai lekin un mein se 8 se 10 ney Microsoft ke baani Bill Gates ki tavajja markooz karali hai. Bill Gates pehlay hi arboun Dollars Vaccines ki tayari par kharch karne ka elaan kar chukay hain aur un ke falahi idaray Bill and Melinda Gates Foundation ney 25 Ccrore Dollars Novel Coronavirus ke khilaaf kharch karne ka wada kiya hai.

Bill Gates haal hi mein elaan kar chukay hain ke un ka idaara apne tamam wasail is waba ke liye mukhtas karne ki mansoobah bandi kar raha hai. Bill Gates ney ek Blog Post mein Vaccine ki tayari aur taqseem ke amal par roshni daali. Unhoun ney likha ke ek vaccine ki tayari mein 18 mah lagtay hain lekin un ke khayaal mein Coronavirus ke khilaaf Vaccine jald az jald 9 mah ya ziyada se ziyada 2 saal mein tayyar hojayegi.

Unhoun ney likha abhi 115 mukhtalif COVID-19 Vaccine tayari ke marahil se guzar rahi hain, Mere khayaal mein un mein se 8 se 10 ziyada behtar nazar aa rahi hain aur hamara idaara un sab par nazar rakhega. Bill Gates ney kaha ke behtareen Vaccines ke liye mukhtalif aqsam ki hikmat e amli par amal kiya jana chahiye taakay jism ko COVID-19 ke khilaaf tahaffuz mil sakay. Unhoun ney live aur un Active yani 2 aqsam ki Vaccines ki wazahat bhi ki. Un Active Vaccine mein jaraseem ka murda Version istemaal kiya jata hai jabkay Live Vaccine mein kam miqdaar mein zindah jaraseem ko istemaal kiya jata hai.

Bill Gates ne wazahat ki ke ye tareeqekar riwayati aur qabil aitebaar hain lekin un ke liye wasail ki ziyada zaroorat hoti hai jabkay tayari ka amal sust hota hai. Mein 2 naye tareeqakar RNA aur DNA Vaccine ke hawalay se ziyada pur josh hon. Aap ke jism mein ek jaraseem ko daakhil karne ki bajaye jism ko wo jeneati Code den jo jaraseem se ladnay ke liye Anti gems tayyar karne mein madad day, Jab ye Anti Gems khaliyaat ke baher namodaar hojaenge to mdafati nizaam un par hamla aawar hoga, Aur sekhega ke mustaqbil mein is terhan ke jaraseem ko kaisay shikast deeni hai, Is terhan aap ka jism hi Vaccine tayyar karne wala Unit ban jayega.

Agarchay Gates Foundation ki janib se RNA Vaccine par lag bhag ek dahai se kaam ho raha hai lekin ab bhi un ki tayari asan nahi aur Bill Gates ne likha COVID ke nateejay mein pehli RNA Vaccine muta-arif hosakti hai, Hamein ye saabit karna hoga ke ye Platform kaam kerega aur jaraseem ke khilaaf mudafat peda kerega. Ye bilkul aisa hai jaisay aap apna Computer System tayyar karte hain aur is ke sath pehla Software bhi tayyar hota hai. Magar COVID-19 ki Vaccine ke hawalay se ahem tareen Challenge ye hai ke aaj tak kisi Coronavirus ke khilaaf Vaccine tayyar nahi huvi. –YTN STAFF