Nalgonda. Mahatma Gandhi University (MJU) Nalgonda ki Executive Council ney 32 Associate Professors aur Assistant Professors ko barkhast karne ki qarardaad manzoor ki hai chunkay tehqiqati Committee ney un taqqururat mein be irregularities ko paaya hai. Special Chief Secretary (Education) Mr. Ranjeev R Acharya ney bhi Executive Council ke ijlaas mein shirkat ki aur ijlaas ke ayendah mein 32 Associate Professors aur Assistant Professors ke taqqururat ke masle ko shaamil karne khusoosi pahel ki. Maloom huwa hai ke Executive Council ke ijlaas mein MGU ke sabiq Vice Chancellor Katta Narsimha Reddy aur Registrar Pochanna ko memos jari karne ka faisla kiya hai jin ke zamana mein yeh taqqururat amal mein aaye thae. September 2011 mein elamia jari karte huwe University mein zayed az 32 Associate Professors aur Assistant Professors ke taqqururat amal mein aaye thae jabkay aik Assistant Professor ke post ko elamia number 1/2011 ke sath fill kiya gaya tha. 32 psots mein 6 Associate Professor ke posts thae. Jab chand be rozgaar umeedwaron ney Education Minister aur Higher Education Department ke ohdedaron ko aik memorandum paish karte huwe University mein Associate Professrors aur Assistant Professors ki jayidadon par taqqururat mein be irregularities ka ilzaam aayed kiya to Hukoomat ney Ooctober 2016 mein sabiq Vice Chancellor Osmania University ki zair e qayadat aik 3 members Committee tashkeel dete huwe tehqiqaat ka hukum diya tha aur Committee ko hidayat di thi ke androon aik mah report daakhil kare taham Inquiry Committee ki tashkeel ke androon aik hafta Executive Council ney rules ki khilaaf warzi karte huwe 31 Associate Professorors aur Assistant Professors ke probation period ko manzoori dae di thi. Ilzaam hai ke maujuda Vice Chancellor University Khwaja Altaf Hussain ney is maamle mein kalidi rule ada kiya. Inquiry Committee ney October 2016 mein hi apni report Hukoomat ko paish kar di thi. Agarchay Special Chief Secretary ney University Vice Chancellor ko April 2018 mein hi hidayat dey di thi ke faculty ke khilaaf karwai ki jaye jo ney invaild Certificates rakhte hain aur darkaar ahliat ke haamil nahin hain lekin is par koi karwai nahi ki gayi. Jis ke baad Special Chief Secretary ney peer ko Executive Council ka ijlaas 32 Associate Professors aur Assistant Professors ke khilaaf karwai ke wahid agenda par talab kiya. Zaraye ke mutabiq tehqiqati committee ney paaya ke aik fard ney University mein Italy ki University ki asaas par Associate Professor ka post haasil kiya jo UGC ke guidelines ke mutabiq durust nahi hai. Un 32 faculty ki aksariyat deegar riyaston ki Universition ke asnaad rakhnay wali hai jo ghair maaroof hain. Associate Professor ki jayedad ke liye aik umeedwaar jo Phd mukammal karliya hai ahal hota hai lekin jin 6 Associate Professors ka taqarrur kiya gaya hai un mein koi bhi UGC ki sharait par poora nahi utarrta. UGC ke mutabiq Assistant Professor ke liye 200 Acadamic Performance Score ka haamil hona hoga magar 2016 mein taqarrur kiye gaye 24 Assistant Professor mein koi bhi umeedwaar 50 ke score se ziyada ka haamil nahi tha.