Saturday, April 27, 2024
HomeOthersBusinessMG motor ne nai electric car muta-arif kardi

MG motor ne nai electric car muta-arif kardi

New Delhi: Musafir gaadi bananay wali company MG motor india ne aaj delhi mein 20.99 laakh rupay ki X show room qeemat ke sath hindustani market mein apni nai car ZS EVmuta-arif kiya hai.

Company ke chairman aur MD Rajeev gava ne is car ko muta-arif karte hue kaha hamein ev space ke baray mein apni wabastagi ka iada karte hue ZS EV ke naye version ko ek  saal se bhi kam arsa mein muta-arif karwanay par. –Apne sarfeen ke liye milkiat ka behtar ehsas peda karne ke liye, hum apne maholiyati nizaam ke shiraakat daaron ke sath Hindustan mein ek mazboot charging infrastructure bana rahay hain.

Unhon ne mazeed kaha ke jadeed tareen version mein behtareen un class 44.5 kilo watt high tec battery hai aur is mein tasdeeq shuda 419 kilometer range hai. Naye tayron se aarasta is gaadi aur battery pack ground clearance ko bal tarteeb 177 mili meter aur 205 mili meter tak badha diya gaya hai. Apne shiraakat daaron ke sath mulk bhar mein charging eco nizaam ko wusat dainay ke baad ZS EV 2021 ko ab 31 shehron mein booking ke liye dastyab kara diya gaya hai. yeh car January 2020 mein paanch shehron mein muta-arif ki gayi thi aur phir batadreej shehron ki fehrist mein izafah kya gaya hai.

Company ke Website par is nai car ki booking ki sahoolat fraham ki gayi hai jahan nah sirf gaadi ke intikhab, rang, dealers ka maqam aur riyasat ke alawa car kahan par fraham karna is sab ki sahoolat fraham ki gayi hai. Car ko mahol dost bananay ke sath is mein tamam asri khususiyaat ko shaamil karne ke alawa safety ke aitebaar se ki bhi sahoolat ko nazar andaaz nahi kya gaya hai.