Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadMetro Rail ki tamir ka dosra marhala barf daan ki nazar, Corona...

Metro Rail ki tamir ka dosra marhala barf daan ki nazar, Corona se Funds ki ajrayi mushkil

Hyderabad: Project ki tafseeli Report tayyar honay ke bawajood Metro Rail ka dosra marhala amli tor par barf daan ki nazar hogaya Corona wabai amraaz ki wajah se dosray marhalay mein 6 mah se ziyada takheer hui hai. Dosray marhalay ke liye DPR 2 saal qabal tayyar tha. Agar Corona ne mulk ko mutasir nah kiya hota to Metro Rail Funds ki farahmi mein taizi aa jati. Field level par project ke kamon ko bunyaad bana diya jata aur kaam taizi se takmeel ki simt rawan dawaan hota.

Wabai bemari ki wajah se is mansobay ka dosra marhala ek inch bhi nahi badh saka. Pehlay marhalay mein tamam rahdaryon mein Metro Rail ke 69 kilometer rote ko mujawaza 72 kilometer mein se amal mein laya gaya. Jab shehrion ne Metro Rail khidmaat ko taizi se qubool karna shuru kiya to reyasti hukoomat ne is mansoobay ke dosray marhalay ki taraqqi par tawajah di. Saal 2018 ke aakhir aur 2019 ke awail mein honay walay Assembly intikhabaat aur Lok Sabha intikhabaat ki wajah se is mansoobay mein takheer huvi hai. Yahan tak ke jab hukoomat dosray marhalay ke liye bohat ziyada raqum ki zaroorat ke baad se markaz aur deegar khangi tanzeemon ke sath funds ki manzoori ke liye baat cheet kar rahi thi tab hi corona wabai amraaz ne muashi shobay ko maflooj kardiya aur is mansoobay mein mazeed takheer hui.

Dosra marhala Shamshabad mein Raidurgam se RGIA tak Metro Rail ki taraqqi ko tarjeeh deta hai. Lakhoon logon ko faida pohanchanay ke liye hukoomat ne Airport tak Metro Rail tayyar karne ke liye ek khusoosi maqsad wali gaadi bhi tayyar ki. Airport aur TSIIC ke ishtiraaq se HMDA ne 31 kilometer ke faaslay tak Metro Rail Track bichenay ke mansoobon ka musevida teyar kiya hai lekin mojooda sorat-e-haal ke tehat mustaqbil qareeb mein dosra marhala shuru honay ka imkaan nahi hai.

Dosray marhalay par amal daraamad par 5000 crore rupiye laagat aaye gi. Riyasat aur markazi hukoomaton ko is mansoobay ke liye funds muhayya karne chahay bhi to wabai marz ki wajah se funds ko akhatta karne ka koi imkaan nazar nahi araha hai. Pehlay marhalay ko public private partnership ke tehat amal mein laya gaya tha lekin hukoomat khud hi dosray marhalay par amal-dar-aamad karna chahti hai. Kuch aala hukkaam pehlay marhalay ki terhan awaami mafadaat ki shiraakat mein dosray marhalay par amal-dar-aamad par tashweesh ka izhaar karte rahay hain. Un halaat mein ab faisla reyasti hukoomat ke haath mein hai.