Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadMetro rail ki maqboliat ke bawajood awam ko hunuz shikayaat

Metro rail ki maqboliat ke bawajood awam ko hunuz shikayaat

Hyderabad :  Hyderabad Metro Rail khidmaat batadreej dono shehroun ke awam ki pehli pasand ban rahi hai khaas kar ke mausam-e-barsaat mein awaami hamal wo naqal ki yeh khidmaat hyderabadiyoun ki pehli pasand ban chuki hai kyunkay Hyderabad mein barsaat ke mausam mein ek janib traffic jam aur sadkon ki khasta haal inhen pareshan karti hai to doosri janib Metro rail Aram da safar faraham kar rahi hai yahi wajah hai ke guzashta ek baras ke douran metro rail se safar karne walay musafireen ki tadaad mein 3 guna izafah hua hai.

Guzishta baras mah august mein rozana metro rail se safar karne walay musafireen ki tadaad taqreeban ek laakh ke aas-paas record ki gayi thi lekin rawan baras mah augst mein metro rail ke zariye safar karne walay you-miya musafireen ki tadaad taqreeban 3 laakh chuki hai. Hyderabad metro rail ltd ke mutabiq mah-e-augst ke douran metro rail se safar karne walay musafiron ki youmiya tadaad 2.8 taa 2.9 laakh pohanch chuki hai. Metro Rail se safar karne walay musafireen ki tadaad mein achanak is qader izafah darasal mausam-e-barsaat mein pani se bachao aur khasta haal sarkon par safar karne se garaiz karna hai.

Ek janib Metro rail hyderabadi musafireen mein maqboliat haasil kar rahi hai to doosri janib maqbooliat ke bawajood Metro rail ke bunyadi masail hnoz baqi hain jis ki shikayat awam kar rahay hain. ek janib Metro rail ke hukkaam apni khidmaat ko behtar se behtareen bananay ke liye tamam tar tavajja high take city, Banjara hills, jubilee hills aur is taraf ke deegar ilaaqoun par markooz kar rahay hain to doosri janib ghair IT muqamat ke awam ko shikayat hai ke metro rail se daftar aur ghar tak ki rasai ke liye doosri sawari ka behtar intizam nah honay ki wajah se inhen masail ka saamna karna padh raha hai.

Metro Rail ki janib se Durgam chevru station se Gachibowli aura finacnicial district tak rasai ke liye shuttle buses ki khidmaat faraham ki jarahi hai aur yeh buses har 15 minute ke waqfay se musafireen ko ek muqam se dosray muqam tak pohanchanay liye tayyar mil jati hain, is ke alawa yeh buses subah 8 baje taa dopehar 12 baje aur phir shaam 4 baje taa raat 9 baje apni khidmaat faraham karti hain .

Is Ke bar-aks Bolaram, jedimetla aur Alwal ke awam ko yeh masail darpaish hain ke yahan metro rail station se dosray muqamat tak rasai ke liye deegar sawariyoun ki behtar sahuliyaat dastyab nahi hain jis ki wajah se yahan ke awam ko sharing auto ka istemaal karna padta hai jiske liye zayed 15 taa 20 rupay ada karne padte hain jo-ke jaib par zayed bojh hai lehaza yahan ke awam naay hukkaam se mutalba kiya hai ke woh Hitec city aur deegar ahem muqamat par jis tarhan shuttle buses ki khidmaat faraham ki hain woh yeh khidmaat ko un ilaaqon mein bhi faraham den taakay inhen Aram da safar muhayya honay ke alawa akhrajaat par bhi qaboo paaya jasakay. –YTN STAFF