Saturday, April 20, 2024
HomeHyderabadMetro rail ke auqaat mein tausee se awaam ko rahat‌‌‍

Metro rail ke auqaat mein tausee se awaam ko rahat‌‌‍

Hyderabad: Hyderabad metro rail ne Monday se apni khidmat ke auqaat kaar ko dobara tarteeb diya hain aur is mein tausee kardi hain jis se awaam ko rahat mili hai. Hyderabad metro rail ab subah 7 baje (pehli train) se raat 10.15 tak (mutalliqa station’s se aakhri train chalaigi) covid safety protocol ke saath 11.15 par tamaam terminal station’s tak pohuche gi har ek ki hifazat ke liye musafiro ko mashwara diya jaata hain ke woh covid hifazati hidayat par saqti se amal karein ba shamool samaji daur chehre ke mask pehanna haathon ki safai aur ba qaida tarmil screening is mein shamil hain.

L and T metro rail Hyderabad limited ke tarjuman ne kaha ke metro safar ko mehfooz rakhne ki koshishon ke saath maujooda auqaat ke mutabiq aakhri train mutalliqa station’s se raat 9 baje shuroo ho rahi thi aur taqreeban 10 baje tak mutalliqa Manzil ke station’s tak pohunch rahi thi lekin ab se mamool ke mutabiq naye auqaat farahum kar diye gaye hain.

Yaad rahe ke Hyderabad metro rail ne 12 may se apni khidmat ko band kar diya tha jab Telangana hukoomat ne covid lockdown nafiz kiya tha. Lockdown ko mukammil taur par khatam karne ke baad Hyderabad metro rail 21 June se subah 7 baje se shaam 5 baje tak apni khidmat anjaam de rahi thi. 73 kilometer Aeloveted metro jise public private partnership model mein duniya ka sab se bada metro project kaha jaata hai. 200000 core rupiye ki majmooyi laagat se tameer kiya gaya.

2020 mein covid wabai marz phailne se pehle rozana taqreeban 4.5 lacks musafiro ko le kar chalne wali 55 train’s chala rahi thi. 22 March 2020 ko covid uski khidmat muattal kar di gayi thi. May June 2021 mein covid wabai marz ki dusri lehar ke paish e nazar lockdown ki wajeh se ek maah ke liye metro khidmat dubara mutasir huwi lekin ab is ke auqaat mein subha 7 baje se raat 10 baje tak ki tausee ne awaam ko na sirf safar ki rahat farahum ki hain balke Telangana mein zindegi ke mamool ki simt aane ka ek tose saboot farahum kar diya hain. Jis se tijarat aur deegar masroofiyat ka graaf bulandi ki simt gaamzan hain.