Thursday, May 9, 2024
HomeSlider#Metoo muhim se Ken fisher investment ko arbon dollars ka nuqsaan

#Metoo muhim se Ken fisher investment ko arbon dollars ka nuqsaan

New York: Duniya bhar mein jinsi harasani ke khilaaf chalne wali #Metoo muhim mein ab tak hattak izzat ke kayi waqeat samnay aaye lekin kaarobar ko arbon dollar ke nuqsaan ka kam sunney mein aaya. duniya ke badey maali idaron ka gadh samjhay jane walay wall street ke ek mashoor shaks ko sirf chand dinon mein arbon dollar ka nuqsaan hua jab unhon ne ek conference ke douran khawateen se mutaliq ghair munasib bayan diya.

Tafseelaat ke mutabiq Ken fisher investment ke maalik kinith fisher ne ek conference mein khawateen se mutaliq nazebah bayan diya jis ke baad se woh tanqeed ki zad mein aaye aur unke gahkon mein se kuch ne unse karobari taluqaat munqita bhi kar liye.

kinith fisher America mein ek maali tajzia nigaar hain, jinki fisher investment naam ki company per beshtar afraad aur companiyon ke arbon dollar maliyat ke asasay sambhalne ki zimmedaari hai. San Francisco mein munaqqid hai conference mein media courage ki ijazat nahi thi lekin conference mein shareek 1 shakhs ko Kinith Fisher ki battay itni ghair munasib maloom huien ke unhon ne iska ghussa twitter par nikalna behtar samjha.

Conference mein shareek shakhs ne kaha ke kinith fisher ne na sirf ghair munasib tareeqay se jinsi aaza ke barey mein baat ki balkay unhon ne ek misaal dete hue gahak aur bar mein mojood ladki ka mawazna bhi kiya. Unhoun ne kaha fisher ne jo baattay bolein woh kaafi khofnaak theen. unhon ne mazeed kaha ke conference mein shareek khawateen ne unko baad mein bataya ke inhen kinith fisher ki baton se takleef hui.

Taham kinith fisher ne baad may media se is barey mein baat karte hue apne bayan par maafi mangi taham is douran beshtar companiyon ne unke sath karobari taluqaat khatam kar diye. Amrici shehar Bostan ke mayor marti valsh ne kaha hai ke Bostan aisi kisi company mein sarmaya kaari nahi karega jisay aisay afraad chillate hon jo khawateen ko kaarobar ki shaie samajte hon.

Kinith Fisher ki company ke jumla nuqsaan ki laagat badh sakti hai kyunkay is waqea ke baad duniya ki sab se badi asasay sambhalne wali company, federlity investment, ne kaha hai ke woh kinith fisher ki company ke sath taluqaat agay le jane ke barey mein sochenge. taham ek aur company ke sadar ke mutabiq kinith fisher ne jo kaha woh maali idaron ki duniya mein koi nai baat nahi. ab farq bas itna hai ke log #Metoo muhim ki wajah se darne lagey hain. –YTN STAFF