New York: Barcelona ke Star khiladi Lionel Messi nay sab se ziyada aamdani ke muamlay mein pehla maqam haasil kar liya hai. Woh Arab patti khiladion ke Club mein bhi shaamil ho gaye hain. Argentina se talluq rakhnay walay Barcelona ke yeh khiladi ab taq 1 billion dollar se zayed kama chuke hain. Americi jareeday Forbes ke mutabiq Messi ab taq 840 million Euro ya 1 Arab dollar se zayed ki raqam kama chuke hain. Woh sirf is saal hi 126 million dollar kamaain ge jin mein se 92 million dollar inhen haspanwi football Club Barcelona ki taraf se khailnay ki wajah se milein ge.
Yahi nahi inhen rawan baras mukhtalif idaron ke sath commercial sponsorship muahidon ki wajah se bhi taqreeban 34 million dollar ki aamdani ho gi. Hindustani khiladion ki aamdani ke baaray mein baat karen to sirf Virat Kohli akailey hi Top 100 mein shaamil hain. Hindustani cricket team ke Captain Virat Kohli ku 66 wan number par hain jin ki kamayi 26 million dollar ( taqreeban 196 crore rupay ) hai. Kohli musalsal chouthay saal sab se ziyada aamdani walay 100 khiladion ki fehrist mein shaamil hain.
Hindustani captain 2019 mein majmoi aamdani 173. 3 crore rupay ke sath 100 wan number par they. Wo 2018 mein 161 crore rupay ki aamdani ke sath 83 we aur 2017 mein 141 crore rupay ke asasay ke sath 89 wan number par they. Forbes neh likha hai ke Lionel Messi duniya ke aisay sirf chouthay khiladi hain jo ek sports man ke tor par apne career ke douran hi khail se honay wali aamdani ke baais Arab patti banay hain. Messi se pehlay itni ziyada aamdani kamyabi haasil karne walay 3 khiladion mein se 2 ka talluq America se tha.