Sunday, December 8, 2024
HomeIndiaMeri masoom bachi ko insaaf kab milega: Mohammad Yousuf

Meri masoom bachi ko insaaf kab milega: Mohammad Yousuf

Sri Nagar: 2 saal qabal poori duniya ko jhanjhodhne walay Kathua  esmatdarri o qatal muamlay ki mutasirah bachi ke waalid Mohammad Yousuf Pachwal ne kaha ke meri masoom bachi ke sath insaaf nahi huva. Unhoun ne kaha ke mujhe ye jaan kar thoda itminan mela ke Nirbhaya ke sabhi 4 qatiloun ko phansi di gayi hai. Ab meri beti ke qatiloun ko bhi phansi day kar insaaf ke takazey pooray kiye janey chahiye.

Mohammad Yousuf ne ek Interview mein kaha ke hamari pehlay se hi faryaad hai ke hamari beti ke qatiloun ku phansi di jaye. Mein ne suna ke aaj subah 5 bajay Nirbhaya ke qatiloun ko phansi di gayi. Ye sun kar mujhe thoda itminan mila.

Taham unhoun ne sath hi kaha ke meri masoom bachi ke sath insaaf nahi huva. Kisi ko 5 saal to kisi ko 25 saal qayed ki saza sunai gayi. Ek mulzim ko choda gaya aur dosre ek ki Trial abhi jari hai. Hukoomat ki marzi hogi to meri bachi ke qatiloun ku bhi phansi hosakti hai.

Mohammad Yousuf ne kaha ke Rasana mein aksriyati tabqa un ke sath narawa sulooq rava rakhta hai aur yahan tak un ka pani tak rokkk diya gaya tha. Unhoun ne kaha hamare yahan do teen Muslim padosi hain hum un hi ke sath uthte baithtay hain. Hum aksriyati tabqa ke ilaqay mein apne maweshi churatay they lekin unhoun ne wahan hamara dakhla band kardeya. Unhoun ne hamara pani rokk diya. Wo hamein bohat buri nazar se dekhte hain.

Mohammad Yousuf ne kaha ke unhoun ne apni maqtolah bachi ke sabhi kapday zaruratmandoun ko day diye hain kyunkay un kapdoun ki taraf dekh kar hamaray dil chhalni ho jatay they. Mere 2 betay hain. Dono apni behan ko bohat yaad karte hain. Is ke kapday kuch they jo hum ne zaruratmandoun ko day diye. Hum un kapdoun ko rakh nahi satke they kyunkay un ko dekh kar hamaray dil chhalni ho jatay they.

Kamsin bachi ke waalid ne kaha ke Kathua maamla poori duniya tak pounchane ke baad jo pesey mukhtalif jaghoun se aeye they un ka pata hi nahi chala ke wo kahan gaye. Uss waqt logoun ne maali tor par bohat madad ki thi. Kerala aur Saudi Arab se pesey aeye they. Is pesey ka kuch pata hi nahi chala. Pata nahi Bank Manager ne wo pesey kis ko diye. Delhi se bheje gaye kuch pesey mujhe miley jo mein ne wakeeloun ko diye.

Yaad rahe ke District and Session Judge Pathan Coat Dr Tajvendar Singh ne guzashta baras June mein Kathua esmatdarri o qatal waqea ke mansoobah saaz ow sabeq sarkari ohdedar Sanji Ram, Parvesh Kumar aur SPO Deepak Khajuria ko ta hayat qayed ki saza jabkay deegar 3 bashmole SPO Surender Kumar, Sab Inspector Anand Dutta aur Head Constable Tilak Raj ko 5 paanch saal qayed ki saza sunai. Judge ne Sanji Ram ke betay Vishal Changutra ku thos shawahid ki adam mojoodgi ki bina par bari kardiya. Aathwan mulzim jo waqea pesh ane ke waqt na baligh tha aur jis ne kamsen bachi par sab se ziyada zulm dhaya tha, Uskay khilaaf Trial Juvenile Court mein jari hai.

Mohammad Yousuf Pachwal ke zaati wakeel Mubin Farooqi ne muqadma ke 3 kelidi mujrimoun ki sazae mout aur deegar 3 ki sazaon mein mazeed izafay ke liye neez muqaddama ke ek mulzim ko bari qarar daine ke khilaaf Punjab. Haryana High Court ka darwaaza khatkhataya jahan is ki samaat jari hai.

Zila Kathua ke tehseel Hera Nagar ke Rasana nami gaon‪ ki rehne wali 8 sala kamsin bachi jo kay Gurjar Bagrowal tabqa se talluq rakhti thi, Ko 10 January 2018 ke is waqt aghwa kiya gaya tha jab wo ghodoun ko churanay ke liye nazdeeqi Jungle gayi huvi thi. Is ki laash 17 January ko Hera Nagar mein jhadioun se bar aamad ki gayi thi. Crime Branch Police ne apni tehqiqaat mein kaha ke 8 sala bachi ko Rasana aur is se mulhiqa gaon‪ ke kuch afraad ne esmatdarri ke baad qatal kiya. Tehqiqaat ke mutabiq mutasirah bachi ke aghwa, Esmatraizi aur safakana qatal ka maqsad alaqa mein rahaish pazeer chand Gojar bakruwal kombounku darana dhamkana aur naqal makani par majboor karana tha. Tehqiqaat mein inkishaaf huva tha ke kamsin bachi ko aghwa karne ke baad ek muqami Mandir mein qayed rakha gaya tha jahan usay nasha aur aduweyat khilai gayi then aur qatal karne se pehlay usay musalsal darindgi ka nishana banaya gaya tha. –YTN STAFF