Wednesday, May 7, 2025
HomeIndiaMeri Ladhayi Ab Aur Jarehana Hogi : Rahul Gandhi

Meri Ladhayi Ab Aur Jarehana Hogi : Rahul Gandhi

New Delhi: Congress ke sadaarti ohda se istifa dene ke ek  din baad party ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne guzishta 5 saal ke muqablay mein 10 guna ziyada taaqat se ladnay ke azaem ka izhaar kiya. Unhoun ne kaha ke mein hamesha ghareebon aur kisaanoun ke sath hun. mustaqbil mein jarehana rukh ikhtiyar karne ka ishara dete hue Rahul gandhi ne kaha ke meri ladai jari rahaygi. Mai apni guzishta 5 saal mein ki gayi ladai se das guna ziyada taaqat se ladhunga.

Sadar ohda se istifa dainay ke sawal par unhoun ne kaha ke woh jo kehna chahtay the kal chaharshumba ko jari kiye gaye apne maktoob mein likh diya hai. ghour talab hai ke Rahul gandhi ne guzashta roz istifa ka bazabta elaan karte hue kaha tha ke party ko dobarah mazboot karne ke liye sakht faislay lainay honge aur kayi logoun ko 2019 ki nakami ke liye jawab dena hoga. is nakami ke liye sirf dusron ko zimmadaar tehrana aur sadar ke nate apni zimmadaari qubool na karna durust nahi hoga.

Rahul gandhi ne karkunaan ko likhay gaye maktoob mein kaha tha ke meri ladai kabhi bhi ek  aam siyasi Iqtidaar haasil karne ki nahi rahi. mujhe BJP se koi nafrat ya gussa nahi hai lekin Hindustan se mutaliq unke nazriya ka mein sakht mukhalif hon. meri mukhalfat is liye hai kyunkay Hindustan ke mutaliq un kanazriya aur mere nazriya mein zameen aasman ka farq hai. yeh koi nai ladai nahi hai balkay hazaron saal se hamari zameen par ladi ja rahi hai. unhein is mein ikhtilaaf aur tafreeq nazar aata hai, mujhe is mein Adam masawaat nazar aata hai.

Jahan unhein nafrat nazar aati hai, mujhe mohabbat dikhayi deti hai. doosri taraf congress saddar ohda se Rahul gandhi ke istifa ke baad congress general secretary aur unki behan Priyanka Gandhi ne kaha ke kuch hi logoun mein is tarhan ka faisla lene ki himmat hoti hai. unhon ne Tweet kar ke kaha ke mein aap ke faislay ki izzat karti hon.-YTN STAFF