Hyderabad : Tahsildar Vijaya Raddy ko be dardi se qatal karne walay mulzim ke suresh ki ahliya ke Lata nay ilzaam lagaya ke iske shohar ko qatal muqadma mein qurbani ka bakra banaya gaya hai. Lata nay kaha ke un ke shohar ke alawa deegar afraad bhi mojood hain jinhon nay iske shohar ko Tahsildar ke qatal ke liye uksaya hai. hamlay mein shadeed zakhmi honay wala suresh Osmaniya dawakhane mein zair-e-ilaaj hai.
Media se guftagu karte hue Lata nay kaha ke iske shohar nay kabhi bhi zameen ke tanaza ke baare mein baat nahi ki lekin usay khauf tha ke shayad woh apni zameen kho den.
Lata nay kaha ke waqea ke din subah ke auqaat mein woh apne kaam ki jagah par chali gayeen aur inhen maloom nahi tha ke un ka shohar is tarhan ka intahi iqdaam uthane ja raha hai. unhon nay zor day kar kaha ke kuch aur log bhi is waqea mein mulawis hain jinhon nay is ke shohar ko muhray ke tor par istemaal kiya hai aur usay is tarhan ka jurm karne par uksaya hai. Lata nay yeh bhi mutalba kiya ke asal mujrimon ka pata laganay ke liye tafseeli tehqiqaat ki jayen.
Suresh ka taqreeban 65 feesad jism zakhamo ki zad mein hai aur woh Osmaniya general hospital mein zair-e-ilaaj hai aur guzashta roz doctoron nay kaha tha ke suresh ki haalat abhi bhi tashweesh-naak hai aur iski tabiyat mazeed bigadh gayi hai. mulzim ke suresh nay mubayyana tor par kaha hai ke us nay yeh intahi iqdaam is liye kiya hai kyunkay bacharam gaon mein zameen ke liye paas box ke husool mein mein Tahsildar nay is ki madad nahi ki thi.
Police nay waqea mein 3 deegar zakhmion ke bayanaat bhi ikathay kiye. darin asna Tahsildar ke driver ki mout ke baad police nay is qatal ke muqadma mein SC/ ST ( mazalim ki rok thaam ) dafaa ke tehat ilzamaat shaamil kardiye hain. woh ( suresh ) is baat se naraaz tha ke doosri fareeq jo zameen par qabza kar raha hai woh wahan jaedad ghair manqola sargarmi kar raha hai. lekin Tahsildar paas box jari nahi kar rahi thi. –YTN STAFF