Wednesday, July 2, 2025
HomeHyderabadMein 'Pappu' ki terha nahi hon: KTR

Mein ‘Pappu’ ki terha nahi hon: KTR

KTR

Hyderabad. Wazeer Information Technology o Baldi nazm o nasq o shahri Taraqiyat Mr. KT Rama Rao ney Sadar Pradesh Congress Captain Uttam Kumar par palat kar waar kiya jinhon ney yeh kaha tha ke Mr. KT Rama Rao siyasat mein dakhila se qabl America mein bartan dhoya karte thae. Mr. KT Rama Rao ney Congress qaayed ke remarks par apne twitter payam mein tabserah karte huwe kaha ke unhon ney waisay hi bartan dhuain hain jaisay har Hindustani, America mein apne bartan dhota hai. Unhon ney kaha ke Congress sarbarah Mr. Ruhal Gandhi ke barkhilaf jinhein unhon ney ‘Pappu’ qarar diya, iss Mulk mein apni kamaai khud kiye hain. Wazeer Information Technology ney yeh nishandahi karte huwe ke 2014 ke intekhabaat ke dauran Telangana Pradesh Congress ke sarbarah ki car se 2.5 crore rupay bar aamad huwe thae, Uttam Kumar par awam ki raqam lootney ka ilzaam ayed kiya. Mr. KTR ney suboot ke tour par car mein muntaqil ki jane wali raqam ki tasweer bhi munsalik ki hai. Unhon ney Twitte kiya ke ”Dear Uttam Garu mein ney America mein apne ghar mein bartan dhuai honge (Jaisa ke America mein har Hindustani apne ghar mein dhota hai). Mujhe faqar hai ke mein ney kaam kiya aur aap ke Pappu ke barkhilaf apne bal par aik bawiqar zindagi guzari. Aap ke jaisa mein ney awam ki raqam loot kar apni car mein nahi jalaya”. MR KT Rama Rao ney isi par iktafa nahi kiya balkay AICC State Incharge Kuntaiah par bhi zarb lagai jinhon ney ilzaam aayed kiya tha ‘Apple’ aur ‘Sumsung’ Companies ney KTR ki bad unwaan siyasat ke baayis Telangana mein apne shops ke qiyam ke baarey mein apna zahen badal diya hai. Unhon ney jawabi waar karte huwe Kuntaiah ko ‘Delhi Sultanete’ aur Scamgress joker se mauosoom kiya. Unhon ney kaha ke Apple ney 3500 mulazmeen ke sath apna kaam shuru kardiya hai.