Tuesday, May 14, 2024
HomeLatest News‘Mein aap ka ghussa sunta hoon, lekin tashadud qubool nahi karunga' :...

‘Mein aap ka ghussa sunta hoon, lekin tashadud qubool nahi karunga’ : Emmanuel Macron

Francesi saddar Emmanuel Macron ne haftay ke roz kaha hai ke woh un musalmanoun ka ehtram karte hain jo paighambar islam ke carotoons se naraaz hai, lekin tashadud ke liye koi jagah nahi hai, kyunkay haliya haftay francesi charch mein chaqu ke hamlay ke baad unke ohday daaron ne security ko badhhawa diya tha, jis mein 3 afraad halaak hue thay.

Francesi saddar Emmanuel Macron ne haftay ke roz kaha ke woh paighambar islam ke cartoons par musalman ke ghusse ko samajte hain lekin tashadud na qabil-e-qubool tha, aur woh apni qoum ki azadi ka difaa karenge.

Macron ka arab nashriyati idaray ke sath interview ke ek roz baad hi ek junoobi francesi church mein ek Tunisia ke mohajir ne teen afraad ko halaak kiya. Tunisia se taaluq rakhnay walay 21 sala mushtaba hamla aawar ko police ne goli maar di thi aur ab is ki haalat tashweesh-naak hai.

Ek interview mein sadar Emmanuel Macron ne muslim mumalik mein wasee pemanay par muzahiron ke douran cartoons par muslim aiterazaat ke baray mein kaha “mein unke jazbaat ko samjhta hoon, unke ehsasat ko mehsoos karta hon aur mein unka ehtram karta hoon”, lekin mein chahta hoon ke aap mere kirdaar ko samjhay mera kirdaar mamlaat ko pur-sukoon karna hai, jaisa ke mein yahan kar raha hon aur unke haqooq ki hifazat karoon.

Macron ne zor dekar kaha ke woh kabhi bhi qubool nahi karenge ke cartoon tashadud ka juwaz paish karte hain, mein apne mulk mein hamesha kehnay, likhnay, sochnay, aur mabzol karne ki azadi ka difaa karoonga.

Unhon ne kaha ke kisi mulk aur wahan ki ashya ka boycott karna sirf is liye ke ek akhbar ne kuch kaha woh pagal-pan hai.

Muqami akhbar ne report kiya, yahan tak ke jab interview Nashar ho raha tha police ne bataya ke ek hamla aawar shakhs ne francesi shehar livin mein ek unani aarthodoks charch ke paadri ko goli maar kar shadeed zakhmi kar diya, hamla aawar ke muharikaat ka fori tor par wazeh nahi ho sakte thay, lekin firing nice ke ek church par hamlay ke chand din baad hi hui hain.

Is mah ke shuru mein Paris mein ek hamla aawar ne school ke ek asateza ka sir qalam kiya, jisne izhaar-e-raye ki aazadi ke baray mein tabqati guftagu mein paighambar islam ke cartoon dikhaye they.

Francesi sadar ka interview is waqt samnay aaya jab France ne is tanqeed ko mustard kardiya ke woh apni muslim aqliat ke sath imtiazi sulook karta hai aur woh islam pasand ko khatam karne ki koshish karta hai. Wazeer-e-kharja ne jumaraat ke roz ek taqreer mein aman ka pegham pesh kiya jab muslim mumalik ke rehnumao aur ulma ne paighambar islam par hamloun ki baat ko tanqeed ka nishana banaya.

Turk sadar Rajab Tayyab ardgan jo pehlay hi emmanuel Macron ke sath kasheeda talluq rakhtay hain, ne France ke boycott ke mutalbe ki himayat ki aur kaha ke francesi saddar ko zehni jaanch ki zaroorat hai.

Macron ne apne interview mein bataya ke dehshat gardi ka sab se ziyada shikaar musalman hain. Emmanuel Macron ne hazaron fojion ko ibadat gaahon aur schoolon jaisay maqamat ki hifazat ke liye tainaat kiya hai, aur wazraa ne khabardaar kiya hai ke askriat pasandon ke dosray hamlay bhi ho sakte hain.