Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadMehfooz safar, Hydrabadi awam mein Car ki kharidari ka badhta rujhan

Mehfooz safar, Hydrabadi awam mein Car ki kharidari ka badhta rujhan

Hyderabad: Mulk bhar mein lockdown ki zadmain aakar Automobile shoba buri tara mutasir huwa hai maali dewalia ke nateejay mein Cars ki mumkina kharedari rokk gayi hai lekin awam ki nazrain ab aisi mustamla aur choti Cars par markooz hochuki hain jis se wo corona ke bohraan ke douran  jesmani faaslay ko barqarar rakhnay aur zindagi ke  dusre maloomat ko bakhoobi anjaam day saken. Automobile ke shobay mein istemaal shuda Cars ki maang corona bohraan ke doraan badalta rujhan ho sakta hai. 

Automobile sanat ke mahireen ka khayaal hai ke jismani doori jaisay lockdown ke usool aur is se bhi ahem baat ye hai ke Virus se mutasir honay ka khatrah, Logoun ko awaami transport aur mushtarqa naqal o harkat ke istemaal par dobarah ghhor karne par majaboor kerega aur taweel almeyad ikhtiyar ke tor par zaati sawari ka intikhab karen ge. Is ke alawa 2 payye istemaal karne walay bhi istemaal shuda Cars ku apni bike se  Upgrade karne par bhi ghhor kar rahay hain.

Auto mahireen ka khayaal hai ke aisi sorat e haal mein choti Cars aur yahan tak ke istemaal shuda Cars ki talabb mein bhi izafah hoga. Coronavirus aur bil akhir lockdown ki wajah se Auto Industry ko sab se ziyada nuqsaan uthana pada hai jabkay ye shoba is waba se pehlay hi mushkil daur se guzar raha tha.

Director, Talwar Group aur Federation of Automobile Dealers Association ( FADA ), Telangana ke chairman Saral Talwar ne kaha hamari farokht jo mahana taqreeban 370 gadi rehti thi wo 50% kam hokar 150 unit reh gayi hai. Taham ab jab ke hum ne apni dukanoun ko khol diya hai, Hum dekh rahay hain ke kam qeemat walay choti Cars ke baray mein pooch gach ki tadaad yakeeni tor par badh chuki hai aur mustaqbil qareeb mein bhi ye tabqa haawi hojayega.

IT mulazim Rajendar jis ne hamesha Metro ko tarjeeh di hai ab wo apni hi car khareedney ki koshish kar raha hai. Mein ne hamesha awaami transport ko tarjeeh di hai kyunkay is mein ziyada dabao nahi hota lekin is wabai marz ne mere nuqta nazar ko tabdeel kardiya hai kyunkay ab mein mehsoos karta hon ke sahet mand jism ka hona ziyada zurori hai aur zaati gaadi se virus se mutasir honay ke imkanaat kam ho jatay hain. Mein ek bohat hi bunyadi Car khareedna chahta hon jo meri rozana safar ki zaroriat ko poora karti ho.

Zaati sawari ki zaroorat par baat karte huve Tata Motors Ltd ke tarjuman ne kaha ke coronavirus se awam ke zehnoun mein sawari ke istemaal se mutaliq ek numaya tabdeeli huvi hai. Coronavirus se bachney jismani faasla barqarar kehnay ko tarji di jarahi hai lehaza hum tawaqqa karte hain ke awaami naqal o hamal aur mushtarqa naqal o harkat ke istemaal mein khatir khuwa kami waqay hogi. Awam ki janib se apne hifazat ko yakeeni bananay ki tarje dainay ke rujhan ki wajah se zaati Car ka mutalba badh jayega.

Qeematein kam honay ki wajah se nah sirf chhoote Cars ki maang badh jayegi balkay buhat saaray loog istemaal shuda Cars kharidne par bhi ghhor kar rahay hain. Right Cars India ke CEO Mandeep ne kaha mojooda sorat e haal ke sath hi awam ko ye ehsas hogaya hai ke inhen apne ahal khanah ke safar ke liye mehfooz sawari ki zaroorat hogi. Mojooda sorat e haal aur bahefazat safar karne ke mojooda maslay ka hal talaash karne ke sath hi loog istemaal shuda Cars ki kharidari ko tarje day rahay hain.

Ibtidayi darja wale Cars ki qeemat ki had kahin bhi 2.92 lakh se 6. 9 lakh rupay ke darmain hai aur agar hum 3 saal ki muddat mein kam se kam aur ziyada se ziyada raqam par osatan 8 feesad sharah sood letay hain to phir mahana qist 9,150 se 21662 rupay tak hosakti hai. Bohat se car saaz afraad nah sirf nai Cars ke liye balkay istemaal shuda car ki jagah ke liye bhi lachak dar Financing Schemes pesh kar rahay hain. Kuch gadiyaan tayyar karne walay loog liquidity bohraan ka saamna karne walay kharidaroun ki sahoolat ke liye 3 mah ki karzz ki pesh kash kar rahay hain. Loan ke sahoolat neh bhi Hyderabadi awam ko Car khareed ne ki simat raghib kiya hai. –YTN STAFF