Friday, May 3, 2024
HomeTrending NewsMehfooz Hajj, Saudi Arab ki koshishoo ka WHO ka mutarrif

Mehfooz Hajj, Saudi Arab ki koshishoo ka WHO ka mutarrif

Riyadh: Aalmi idaara sahet ( WHO ) ne Coronavirus ke mahol mein mehfooz Hajj aur Hajjon ke liye hifazati iqdamaat par Saudi Arab ki koshisho ko saraha hai. Media ke mutabiq aalmi idaara sahet ke Director General Dr Tedros Adhanom ne hajjion ke ziyada se ziyada tahaffuz ke liye uthae gaye iqdamaat ki tareef ki.

Press Conference mein kaha ke Saudi hukoomat neh douran Hajj Coronavirus se bachao ke liye jo iqdamaat kiye wo un mulkon ke liye misaal hain ju coronavirus ke mahol mein zindagi guzaarne aur nai sorat-e-haal se khud ko hum aahang karne ke khawahish mand hain. Director General neh kaha hai ke Novel Corona ki waba ka matlab ye nahi ke maloomat zindagi ruk jayen. Waba ke sath hamein hifazati tadabeer apna kar rehna hoga. Har fard Virus se khud ko aur dosaroun ko bachanay ka ihtimaam karte hue zindagi mamool ke mutabiq guzaray.

Aalmi idaara sahet ke Director General ne 16 mulkoun ke 22 mahireen par mushtamil takneeki mushawarti Group qaim kiya hai. Ye Group waba se nimatnay ke silsilay mein aalmi idaara sahet ko mashwaray pesh kere ga. Group mein nafsiat, Samaji aloom, Muashiaat, Asaab, Social Marketing aur mukhtalif qisam ki sar garmion ke mahireen shaamil hain.