Hyderabad: PVNR Expressway par sadak ki marammat ke kaam ka aaghaz ho raha hai lehaza ab Sarojni devi Eye hospital ke samnay se Shamshabad Airport tak pounchanay ke liye jo flyover mojood hai is par Mehdipatnam se airport janay ki traffic ko flyover istemaal karne ki ijazat nahi hai jabkay airport se Mehdipatnam ki simt anay wali traffic ko is par safar karne ki ijazat rahay gi kyunkay is flyover par sarrak ki marammat ka kaam kiya jana hai aur muahiday ke mutabiq is kaam ko 6 mahinay ke andar mukammal kiya jayega lekin hukkaam ne kaha hai ke unka maqsad is kaam ko 2 mahinay ke andar mukammal karna hai .
11.6 kilometer taweel is Bridge par BT road bichai jarahi hai jis ki wajah se ab Mehdipatnam aur airport tak ke rastay mein mojood deegar ilaqoun mein traffic jaam honay ka khadsha badh chuka hai .
Traffic police aur HMD ke ohday-daaron neh mukhtalif maqamat par is rastay mein sadak ki marammat bhi ki hai aur traffic masail ke sath awam ko honay wali mushkilaat per jagah jagah sign board bhi laga diye hain. hukkaam ne kaha hai ke is sadak par marammat ke kaam zarori hain lehaza pehlay yeh faisla kiya gaya tha ke chand mahino ke liye PVNR Expressway ko mukammal tor par band kar diya jaye lekin Mehdipatnam ta airport ke rastay par ahem maqamat jahan pehlay hi rastay tang hain yahan mazeed traffic ke masail peda honay ke khadshaat hain lehaza hukkaam neh faisla kiya hai ke pehlay bridge ke ek hissay ki marammat kar li jayegi jis ke baad dusray simt ki murammat ki jayegi .
Aramghar taa Mehdipatnam ke rastay mein khaas kar Attpur Bridge ke pillar number 273 aur 151 ke alawa Methri haspitl, Nanal nagar aur Spenser show yeh aisay maqamat hain jahan traffic ke pehlay hi masail mojood hain. hukkaam ne awam se kaha hai ke Mehdipatnam se Aramghar ke darmiyan rozana safar karne walay musafireen sahoolat ke liye dastyab deegar raastoun ka istemaal karen taakay traffic mein phansnay se woh mehfooz reh saken . – YTN STAFF