Saturday, May 10, 2025
HomeSliderMehbooba ka yaqeen jeetnay ke liye aashiq ne sabiq mehbooba ki Ismat...

Mehbooba ka yaqeen jeetnay ke liye aashiq ne sabiq mehbooba ki Ismat rezi ke baad qatal ki koshish ki

Manchester : Apni mohabbat haasil karne mehboob ke samnay aashiq kiya nahi karte. koi kehta hai ke woh chaand taare todh laayega aur agar is waday se bhi kaam nah chalay to bollywood filmoun ki tarhan Mashooqa ko Raghib karne ke liye jaan tak dene ko tayyar rehtay hain lekin kabhi aisa suna hai ke apni Mashooqa ka pyar panay ke liye aashiq ne sabiq mehbooba ki ismat rezi ki ho aur itna hi nahi usay jaan se maarne ki bhi koshish kare.

Aisa ek ajeeb aur anokha waqea England ke shehar Manchester mein samnay aaya hai. jahan ek 17 sala aashiq par apni Mashooqa ko apne pyar par yaqeen dilaney ke liye sabiq mehbooba ki Ismat rezi karne aur phir is par jaan lewa hamla karne ka ilzaam laga hai.

Manchester evening news ke mutabiq is muamlay mein iski moujooda Mashooqa ko bhi mulzim banaya gaya hai. ilzaam mein kaha gaya hai ke mulzim Mashooqa ko apne aashiq ke iraadon ka poora ilm tha. isne kabhi bhi ladke ko roknay ki koshish nahi ki balkay iska sath diya. is baat ka inkishaaf dono ke darmiyan message par hui baat cheet ki bunyaad par hua.
Manchester crown court ke sarkari wakeel ne jury ke samnay yeh kehte hue muqamdma ka inkishaaf kiya ke jo aap suneney jarahay hain woh woh nah sirf na qabil-e-tasawwur hi nahi balkay na qabil yaqeen bhi hai.

Wakeel ne adalat mein Daleel di ke mulzim ladka apni sabiq mehbooba ke sath raabtey mein tha. is wajah se iski moujooda mehbooba khud ko zaleel vo khwar mehsoos karti thi. is ne ladke par apna yaqeen haasil karne ke liye aur mushaqqat karte rehne ka dabao banaya.
is dabao ki wajah se ladke ke dil mein is jurm ko anjaam denay ka iradah aaya. waqea ko anjaam dene ke ek din pehlay mulzim ladke ne internet par qatal ke ilzaam mein kitney din saza hoti hai aur qaatil kitney din jail mein rehtay hain, iski maaloomat haasil ki. iske baad woh mutasirah ladki ke ghar gaya jahan isne pehlay iski Ismat rezi ki phir bag mein rakha chaaku nikaal kar is par jaan lewa hamla kiya.
Mutasirah ki qismat achi thi ke jo woh is qatilana hamlay ke bawajood bhi zindah bach gayi. sarkari wakeel ne adalat ko bataya ke mulzim ke sath mutasirah ne kisi bhi tarhan ka ghalat rawaiya ya usay nuqsaan pohanchanay ka kaam nahi kiya tha jiska badla lene ke liye mulzim aisa karta balkay mulzim ne sirf apni Mashooqa ko khush karne aur iska bharosa jeetnay ke liye mutasirah par aisa hamla kiya. –YTN STAFF