Hyderabad: Hyderabad ke warqi ( akhbarat ) aur barqi ( Electronic Media ) ne mehakma mosmiyat ki janib se jo orange warning di gayi jis ke baad awam mein ek janib barish se honay wali tabahi ka khauf tha to doosri janib awam ko ek dosray se is orange warning ke mutaliq maloomat haasil karne ki koshish karta dekha gaya. Hatta ke Media dafatir mein bhi sathiyon ko mehakma mosmiyat ki janib se istemaal kiye jane walay rangon aur is ke matlab ke mutaliq tabadlah khayaal bhi karta dekha gaya jis ke bad andaza huwa ke media dafatir mein mulazimat anjaam dainay ke bawajood khabron ke maahir afraad ki aksariyat rangon ke intibah se bakhabar nahi hai to aam shehrion ka kiya aalam hoga is ka andaza karna bhi bohat aasaan hai. Mehakma mosmiyat ki janib se barish ya tufaan ke mutaliq pesh qiyaasi ke sath 4 rangon ka istemaal kiya jata hai jis ka matlab mukhtalif hota hai aur rangon ke hisaab se iqdamaat bhi kiye jatay hain.
Shehar Hyderabad ke beshtar ilaqay un dinon tofani aur tabah kun baarisho ki wajah se kayi masail ka saamna kar rahay hain aur khaas kar puranay shehar ke Baba Nagar aur is ke atraaf ke ilaqon mein awam ko be intahaa pareshaniyon ka saamna karna padh raha hai aur inhen yomiya zindagi ki baqa ki leye khanay peenay ki cheezon ki madad talabb karni pad rahi to doosri janib mehakma mosmiyat ki janib se orange intibah jari kiya gaya hai.
1. Green ( sabz ) is ka matlab hota hai sab theek hai aur hukkaam ki janib se koi hidayat jari nahi ki jati hai.
- Peela Rang ka matlab hota hai awam ku hushwar raho kehna. Alawa azeen peela rang ka matlab kayi dinon mein phailay hue shadeed mausam ki nishandahi karta hai. Yeh bhi tajweez karta hai ke mausam bad se badter ho sakta hai, Jis ki wajah se rozana ki sar garmion mein khalal padta hai.
3. Orange rang ke intibah ka matlab tayyar raho. Orange intibah intehai kharab mausam ki intibah ke tor pad jari kiya jata hai jis mein sadak aur Rail ka nizaam darham barham honay ke sath safar mein rukawat peda honay aur bijli ki farahmi mein khalal peda honay ke khadshaat hotay hain.
4. Red intibah ka matlab iqdamaat karen. Jab intehai kharab mousmi halaat yakeeni tor par safar aur barqi ko darham barham karne lagtay hain aur jani khatrah la-haq hota hai to, Red Alert jari kiya jata hai. Waisay to ahem sabhi Red ya surkh rang ki khasiyat se waaqif hi hain ke laal rang khatrah ki nishandahi karta hai.