Madina: Haramain Express Train Mecca mukaramah aur Madina Munawwara ke darmain dobarah chalne lagi hai. Madina Munawwara station se rawana honay wali Haramain train Mecca mukaramah poanch gayi. Yaad rahay ke guzashta haftay Madina Munawwara aur Jeddah ke liye Haramain train khidmaat bahaal kar di gayi thi. Ab tamam lines par train mamool ke mutabiq chalayen gi. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Al-Haramain express train station Madina Munawwara ke director Saad Al-Shehri ne kaha Madina Munawwara-o-mukaramah ke darmain rozana baara traines aamad-o-raft ke liye chalaye jayengi.
6 traines Madina Munawwara se Mecca mukaramah ke liye aur itni hi traines Mecca mukaramah se Madina Munawwara zaireen aur shehrioun-o-muqeem ghair mulkioun ko safar ki sahoolat faraham karen gi. Traines haftay mein 5 din Budh, Jumaraat, Jummay, Hafta, Itwaar ko chalein gi. Baqi 2 din peer aur Mangal ko ye khidmaat band ray hai gi. Saad Al-Shehri ne kaha ke rozana 5 hazaar musafiroun ko safar ki sahoolat haasil hogi. ek safar mein 417 musafir ek station se dosray station ka safar kar saken ge.
Al-Shehri ne mazeed kaha ke mustaqbil mein Mecca mukaramah aur Madina Munawwara aur Jeddah-o Rabigh ke darmain traines ki tadaad mein izafay ka imkaan hai. Is hawalay se zurori jaizay liye jarahay hain. Wazeh rahay ke Haramain Railway mein 35 High Speed traines shaamil hain. Har train mein 13 Bogias hain jin mein 400 musafiroun ki gunjaish hai. –YTN STAFF