Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsMecca Mukaramah ki abadi mein jungli janwar ki aamad

Mecca Mukaramah ki abadi mein jungli janwar ki aamad

Mecca Mukaramah: Coronavirus ki wajah se duniya ke beshtar mumalik mein Lockdown hai aur shehar ki sadkain sun_saan hochuki hain jis ki wajah se mukhtalif mumalik mein jungli janwaroun ke shehar ki sadkoun par be khauf ghoomnay ki Videos aeye din Social Media par Viral- horahee hain aur ab ek video Saudi Arab mein muqaddas shehar Mecca Mukaramah ki hai jahan abadi walay ilaqay mein jungli janwar ki aamad ki Video Viral horahee hai.

Saudi Arab mein Mecca Mukaramah ke maroof muhallay Al Ju’ranah mein Goo (Nadir Janwar  ke ghoomnay phirnay ki video Clip social media par Viral hai. Sarfeen sawal kar rahay hain ke Al Ju’ranah jaisay muhallay mein jangli Janwar kahan se agayen. Aam tor par ye sehraa aur ghair abad ilaaqoun mein deera daalti hain. Mehakma tahaffuz jungli hayaatiyaat ke tarjuman ne kaha ke kabhi kabhar jungli janwar insani abadi ke aas paas aajate hain ye koi anokhi baat nahi hai.

Tarjuman ne kaha ke is ki asal wajah ye hai ke jangli Janwar maazi qareeb tak Mecca Mukaramah ke baaz ilaaqoun mein payi jati thi.  Ye wo ilaqay they jahan insani abadi nahi thi. Un dinoun Novel Coronavirus ki wajah se Mecca Mukaramah mein 24 ghantay ke curfew ke baais shehrioun ki naqal o harkat o aamad waraft moattal hai. Mehakma tahaffuz jungli hayaatiyaat ne kaha hai ke Al Ju’ranah ka mohalla sadkoun aur mehloun ke  hawale se ghair abad hai mumkin hai aas paas rehne wali Jangli Janwar nai duniya ki talaash mein idhar nikal aayi hon.

Tarjuman ne mazeed kaha ke jungli janwar aisay maqamat par deera daaltay hain jahan abadiyaan nahi hoten. Agar wo jaghen abad hojati hain to ye janwar wahan se ghair abad maqamat ka rukh karte hain aur jab ye abad maqamat amli tor par ghair abad ho jatay hain to jungli janwar apne puranay thikanoun ka rukh karne lagtay hain. Aisa lagta hai ke Al Ju’ranah ke muhallay mein jagli Janwar ke ghoomnay phirnay ke jo munazer Viral video mein hai woisi fitri amal ka nateeja hon. Tamam Saudi shehrioun aur muqeem ghair mulkioun se Appeal ki ke agar woabadi mein koi bhi jungli janwar ghoomta dekhen to foran Report karen aur usay nuqsaan nah puhnchayin. –YTN STAFF