Sunday, May 5, 2024
HomeSliderMecca ki 1560 Masajid mein itwaar se Namaz ki ijazat

Mecca ki 1560 Masajid mein itwaar se Namaz ki ijazat

Riyadh: Saudi arab mein coronavirus ko phelnay se roknay ke liye muqarara hifazati wo ahteyati iqdamaat ke baais 90 din ki pabandi ke baad Mecca Mukaramah ki 1560 Masajid itwaar ko namaz-e-Fajar se kholdi jayengi.

Media ke mutabiq wizarat islami umoor Mecca Mukaramah  shaakh ney mecca Mukaramah  ki aam aur Jama Masajid namazion ke liye tayyariyaan karwai hain. tamam Masajid mein safai, sanitizing ki karwai mukammal hogayi. namazion ke darmiyan muqarrar faaslay ke liye alamtain lagai ja rahi hain.

2 safoun ke darmiyan ek saf chodrnay ki pabandi ki takeed kardi gayi. badey qaleen Hata liye gaye aur namaziyoun ko apne hamrah jaye namaz laane ki hidaayat di gayi hai. Mecca Mukaramah  ke raza karon ne apne mehloun mein Masajid ke intizamaa ko behtar aur Moassar banana ke amal mein badh chadh kar hissa liya hai. Al-aziziya muhallay Mecca Mukaramah  mein raza karon ke markaz ke executive director Ibrahim mili ne kaha ke nojawanon ne mil kar Masajid mein namazyon ke darmiyan faaslay ke liye alamtain laganay mein hissa liya aur wo Masajid khulnay ki soorat mein sahet wo salamti ke zawabit ke baaray mein Namaziyoun may aagahi muhim bhi chala rahein hai.

Mecca Mukaramah  mein wizarat islami umoor ke ohdedaron ne kaha ke tamam masajid se quran-e-kareem ke nuskhay aur kitaaben hatali gayeen taakay namazion ko mumkina tor per coronavirus lagnay ke khatraat se bachaya jasakay. isse qabal wizarat islami umoor ne 31 May ko mecca Mukaramah  ke alawa Saudi arab ke tamam ilaaqon ki aam aur jama masajid kholdi theen aur tey kardiya tha ke agar koi badi tabdeeli waqay na hui to aisi soorat mein itwaar 21 June se mecca Mukaramah  ki masajid bhi namazion ke liye kholdi jayengi.

Website ke mutabiq Mecca Mukaramah  myonsplti ke tarjuman Raid samar qandi ne kaha hai ke mayor Engineer Mohammad alqaweehas ki hidaayat par musalsal 4 din tak razakar namaziyoun mein aagahi muhim jari rakhenge. –YTN STAFF