Yeruselam: Israeli wazeer difaa ne maqboza bet ul muqaddas mein Israeli police ki ek ghair musallah aur zehni mazoor Palestine nojawan ko goli maar kar shaheed kar ne ke waqea par moazrat karli hai. Yaad rahay ke Israeli police ne haftay ke roz maqboza bet ul Muqaddas ke qadeem hissay mein 32 sala Iyad Halak ko goli mardi thi jis se is ki mauqa par hi mout waqay hogayi thi. Is waqeye ki Palestinoun aur insani haqooq ki tanzeemoun ne shadeed alfaaz mein muzammat ki hai aur unhoun ne apni is shikayat ka iada kiya hai ke Israeli security forces Palestinoun ke khilaaf taaqat ka wehshiana istemaal karre hi hai.
Wazeer Difaa Benny Gantz ne Israeli kabeena ke hafta waar ijlaas mein baat karte hue be gunah Palestine ki jaan lainay par moazrat ki hai. Wo ijlaas mein shyoni wazeer e azam Benjamin Netanyahu ke bilkul sath baithy huve they lekin un se qabal Benjamin Netanyahu ne apne iftitahi kalmaat mein is waqea ka koi zikar nahi kiya hai. Benny Gantz ne kaha mai is waqeye par afsos hai jis mein Iyad Halak ko goli maar kar mout ki neend sula diya gaya hai aur hum is ke khandan ke gham mein barabar ke shareek hain. Mujhe yaqeen hai ke is mauzo ki taizi se tehqiqaat ki jayegi aur un ka koi natayaj aaghaz kiya jaega.
Shaheed Palestine Iyad ke rishtay daaroun ne kaha hai ke wo aatzam ka shikaar tha aur wo khusoosi bachoun ke school mein padhai ke liye ja raha tha lekin is ko rastay mein goli maar di gayi. Israeli police ke tarjuman Micky Rosenfeld ne kaha ke gasht par mamoor police units ne ek mushtaba nojawan ko ja liya tha, Is ke paas pistol aisi koi mushtaba cheez nazar aa rahi thi. Police ne is ko rokne ka ishara kiya aur phir is ka paidal peecha kiya. Is douran mein unhoun ne is mushtaba shakhs par goli chala di.
Lekin Israeli police ne sahafioun se guftagu mein is amar ki tasdeeq nahi ki thi ke is ke paas koi bhi hatyaar tha. Israel ke channel 13 news ne ye report di thi ke ye shakhs ghirmusalah tha jabkay Palestine hukkaam ne kaha ke wo zehni sahet ke aarze se dochar tha. Israeli media ki report ke mutabiq is waqeye mein mulawwis police afsaroun se pooch teach ki gayi hai aur un mein se ek ke wakeel ne sogwaar Palestine khandan ko taziyati pegham bheja hai.
Palestine aur Israel ke insani haqooq ke group ek arsay se shyoni security forces par baaz muqadmaat mein taaqat ke andha dhund istemaal ke ilzamaat ayad karte chalay arhay hain aur kaha hai ke security ohdedaroun ne beshtar martaba aisay afraad ko bhi goli maar kar halaak kardiya jinhen wo baasani giraftar kar saktay they ya jab un ki apni zindaganian kisi mushtaba hamla aawar ki karwai mein kisi khatray se dochar nahi theen to tab bhi unhoun mohlik taaqat ka istemaal kiya hai. –YTMN STAFF