Saturday, April 27, 2024
HomeIndiaMazhab ke mutalliq mutanaza asbaq ko kitabon se nikal diya jayeiga

Mazhab ke mutalliq mutanaza asbaq ko kitabon se nikal diya jayeiga

Bangalore: Karnataka hukoomat ek alaa sathee committee tashkeel dene ke liye tayyar hai jo mazhab se mutalliq darsi kitabon ke mutanaza asbaq ko awwal jamaat se 10wi jamaat se hatayi gayi kyun ke in asbaq ko wedika dharam par ilzam lagane wali mutanaza tehreere qaraar diya ja raha hai. In asbaq mein Hindustan mein dusre mazahib jaise jain mat aur budh mat ke urooj ke liye wedic tarz e zindegi ko ilzam diya ja raha hai.

Zaraye ke ba maujib ke hukoomat ek alaa sathee cometi tashkeel deigi jo ke class 1 se 10 ki darsi kitabon mein is tarha ke tamaam mutanaza masail par ek nazar daleigi. Camety is waqt banayi ja rahi hai jab 6wi jamaat ke tulaba ke liye muqarrar karda social science ke mazmoon part 1 mein mutanaza matan par eterazaat kiye gaye hain.

Mutanaza mawad naye mazahib bil khusoos budh mat aur Jain mat ke wajood mein aane ke baare mein baat karta hain. Sabaq kehta hai wedic daur ke dauran (1500 qabl maseeh se 600 qabl maseeh) huma aur hawana jaisi rasoomat (diyotau ko kush karne ke liye muqaddas aag mein qeemti khane ki ashiya paish karne ki riwayat) jis mein badi miqdar mein anaaj doodh ghee khane ki khillat ka bayis bana sabaq mein janwaron ki qurbani ki rasoomat par bhi behas ki gayi.

Sabaq ne mazeed kaha ke yeh maana jaata hai ke is tarha ki rusoomat sirf hal talash karne ke liye hoti hai. Aam log mantaro ko sanskrit mein nahi samajh sakte the is ke bar aks budh mat aur Jain mat ne asaan tariqe sikhaye jis se unki nasho numa huwi.

Karnataka State brahman development board ne is waqt ke chief minister BS se mulaqat ki thi. Yadi yourpa ne February mein samaji science ki darsi kitabon ke ek baab ke hisson par eteraz kiya yadi yourpa hukoomat ne 17 February ko ek gashti hukum naama jaari kiya jis mein hidayat di gayi ke baab ko na padhaya jaye aur na hi tashqees ke liye istemal kiya jaaye.

Hukoomat ke zaraye ne kaha hai pehle hi Faisla kiya gaya hai ke yeh mutanaza baab agle taleemi saal se hata diya jaye. Zaraye ne kaha hai ke kanda development authority ke ek rukun Rohit chakarteerat ki sadarat mein ek comety banane ka faisla kiya gaya hain. hukoomat jald hi ek comety ke qiyam ka elaan kareigi.

Yeh bhi faisla kiya gaya hain ke 16 deegar arakeen ka taqarrur kiya jaeiga jisme ba shamool rashtrothana parishat ke numainde RSS ki frontear tanzeem methak society ke muhaqqiqeen lok dastano ke mutale aur deegar maroof idaron se muntaqab honge. Comety mein riyasat ke naamwar taleemi idaron ke numainde bhi shamil honge. Comety 6wi jamaat ke tulaba ke liye tajweez karda social science party 1 ki darsi kitaab mein naye mazahib ke zahoor ki wajoohat ke unwan se page No 82 aur 83 ke mawaad par dubara gaur kareigi. Unwan ke tehat pehle do paragraph mein diye gaye mawaad aur page no.83 ki 6 ibtedai satron par bhi behas ki jayeigi. Wedac mazhab ki khamiyon ka dawa karne wale mawaad ko naye mazahib ke zahoor ke liye raasta humwar karne wale taleemi saal 2021 se 2022 se kharij kar diya jayeiga. Comety class 1-10 se samaji science maholiyat science aur zubano ki darsi kitabon mein mazhab se mutalliq mutanaza masail par dubara gaur kareigi.