Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaMazdooroun ko anaaj faraham karne mein bhi Modi hukoomat nakaam

Mazdooroun ko anaaj faraham karne mein bhi Modi hukoomat nakaam

Hyderabad: Hinduston mein corona bohraan ke darmain sab se ziyada mushkilaat ka saamna un mazdooroun ko karna pad raha hai jin ki rozi rootti chhin gayi hon. Ye jantay huve bhi ke mazdoor mushkil mein hain, Un ke liye markazi hukoomat ne koi bada qadam nahi uthaya aur jo uthaya is ki haqeeqat bhi rait ka qilah ban kar reh gayi hai. Modi ne mulk ko khitaab karte huve Hinduston ke 80 crore ghareeboun ko November tak muft mein rashn taqseem karne ka elaan kiya. Sawal ye hai ke is se pehlay un ki hukoomat ne jo muft rashn taqseem karne ka elaan kiya tha, Kya is hadaf ko poora kar liya gaya hai? To is ka jawab nah mein hi miley ga.

Mazdooroun aur ghareeboun ko guzashta 2 mahinay mein jo Ration taqseem karne ke adaad-o-shumaar samnay aeye hain is ke baarey mein jaan kar aap heran reh jayen ge. Wizarat baraye khordani ashya aur awaami taqseem ke adaad-o-shumaar ke mutabiq reyasti hukoomatoun ke zareya guzashta 2 mahinoun mein mohajir mazdooroun ko milnay walay anaaj ka 13 feesad anaaj hi kharch kiya gaya hai. Yani mazdooroun mein un 2 mahinoun mein sirf 13 feesad hi Ration taqseem kiya ja saka hai.

Wizarat ne apne data mein bataya hai ke khud kafeel Hinduston package ke tehat baghair Ration card walay 8 crore mohajir mazdooroun ko May aur June mahinay mein 5-5 kilo anaaj dainay ko kaha gaya tha lekin ab tak sirf 2.13 crore mazdooroun ko hi is ka faida mil saka hai. May mahinay mein 1.21 crore loog aur June mein 92.44 lakh logoun ko is mansoobah ka faida mil paaya hai.

Wizarat ke zareya jari adaad-o-shumaar ke mutabiq sabhi 36 reyastoun aur markaz ke matehat ilaaqoun ne ab tak 6.38 lakh Metric ton anaaj hi uthaya hai, Jo ke markazi hukoomat ke zareya mukhtas 8 lakh metric ton anaaj ka 80 feesad hai. Yahan ghhor karne wali baat ye hai ke logoun ke darmain taqseem mehez 1.07 lakh metric ton hi huwa hai, Jo markazi hukoomat ke zareya mukhtas jumla anaaj ka mehez 13 feesad hai.

Wizarat ke zareya jari adaad-o-shumaar ke mutabiq kayi reyastoun ney 2 mahinay ke liye tay Quota ke tehat poora anaaj to utha liya, Lekin ab tak taqseem nahi kiya hai. Taqreeban 26 reyastoun ney markaz se apne Quota ka sad feesad anaaj le liya hai, Lekin un mein se kisi riyasat ney ab tak sabhi mohajir mazdooroun ko guzashta 2 mahinay ke liye mukhtas kardah anaaj nahi diya hai.

Aadad-o-shumaar ke mutabiq UP ko markazi hukoomat ki taraf se 142033 metric ton anaaj mukhtas kiya gaya, Jis mein you pi ne 140637 metric ton utha liya hai, Lekin May mahinay mein 4.39 lakh zaroorat mandoon aur June mahinay mein 2.25 lakh logoun tak sirf 3324 metric ton anaaj pohanchaya. Matlab ye ke UP mein ab tak sirf 2.03 feesad anaaj hi taqseem kiya ja saka hai.

Agar Bihar ki baat karen to hukoomat ney apne Quota ka sad feesad anaaj yani 86450 metric ton utha liya hai, Jis Bihar mein sab se ziyada mazdoor honay ki baat kahi gayi, Wahan ab tak sirf 3.68 lakh ghareeboun tak 1.842 metric ton anaaj hi kharch huwa hai. Is ka matlab ye hai ke hukoomat ke zareya sirf 2.13 feesad anaaj hi taqseem kiya gaya hai. Ye adaad-o-shumaar May mahinay ke hain. Bataya ja raha hai ke June mahinay mein kisi ko anaaj taqseem nahi kiya gaya.