Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadMayor TRS ka hoga !

Mayor TRS ka hoga !

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad mein raye dahidon ne GHMC intikhabaat mein hissa lainay wali tamam jamaaton aur unke umeedwaron ki qismat par mohar Sabt kardiya hai aur is baar har badi siyasi jamaat GHMC mayor ke ohday ke liye apne umeed waar ke imkanaat ka jaiza lainay mein masroof hai. Mayor kiska hoga is ke liye har party raye dahi ke rujhan, both waar, zameeni haqayiq ke tajzia mein masroof hai. votoun ki ginti 4 decemeber ko hogi. agarchay TRS, AIMIM, BJP , congress, TDP aur baen baazu ki jamaaton ne baldi intikhabaat mein hissa liya lekin Mayor ke ohday par Faiz honay ki asal larai TRS aur BJP  ke mabain deekhaee day rahi hai.

AIMIM ka numainda jo TRS ke taawun se mayor ke ohday par Faiz tha lagta hai lekin ab yeh imkanaat khatam hotay Deekhaee day rahay hain lekin iske bawajood TRS ke mayor ke liye imkanaat roshan hain halaanke BJP  ne kisi had tak kayi vardon mein apni kamyabi ke numaya asraat chhodey hain. GHMC intikhabaat 2016 mein TRS ne kisi bhi doosri party ya iske sabiq arkaan ( party MLA, MLC aur arkaan-e-parliment ) par inhisaar kiye baghair mayor ki nashist 150 wards mein se 99 nishiston par kamyabi haasil karte hue haasil karli thi lekin is martaba mayor ki nishist ko hasil karne ke liye jaadoyi adad wo shumaar 76 hain. badlay hue siyasi manzarname mein BJP  ke taaqatwar bankar ubharnay ke baad TRS qayadat ko is martaba GHMC mein 99 nishistain milnay ki umeed nahi hai aur iski nishistain kam hosakti hain, isi wajah se usay mayor ke intikhab ke liye apne un ​​arkan jinko mayor ke intikhab ke liye vote daalnay ka haq haasil hai ka istemaal karne ke liye pehlay hi hikmat e amli tayyar ki hai.

Is waqt GHMC mayor ke voting ke liye majmoi tor par 45 arkaan ne apne naam darj kiye hain agar ye 45 arkaan mayor ke intikhab ke liye raye dahi mein hissa letay hain to mayor ki nishist ko muntakhib karne ke jaadoyi adad wo shumaar 76 se badh kar 98 ho jayenge. 45 official office membron mein se TRS ke paas tanha 31 arkaan hain. iska matlab yeh hoga ke TRS aasani se apne tor par mayor ki nishist jeet sakti hai chahay woh is baar intikhabaat mein 67 seitin jeet jaye halanek is ne 2016 mein 99 nishistain haasil ki thi. isakay alawa nizaamabad MLC aur cheif minister KCR ki beti ke Kavitha hanooz mayor ke intikhab ke liye rukan ki haesiyat se indraaj hona baqi hai. Agar woh indraaj karti hai to, TRS ka jeetnay ka hadaf 66 nishiston par aajayega.

BJP  ke liye mayor ka ohda haasil karna ek mushkil kaam hoga, kyunkay zafrani jamaat ke paas sirf 2 aisay arkaan hain jo kay mayor ke intikhab ke liye apne vote ka istemaal kar saktay hain, jiska matlab ye hai ke party ko mayor ke ohday par Faiz honay ke liye GHMC intikhabaat mein 150 mein se 96 nishistain jitni hongi jo kay aasaan kaam nahi hoga. AIMIM ke paas 10 arkaan hain aur usay Mayor ki nishist ke liye GHMC intikhabaat mein 51 mein se kam se kam 45 nishistain haasil karni hogi, jis ke baad majlis ke paas mayor intikhab ke liye majmoi tor par 55 nishistain hongi. agar intikhabaat mein 40 se kam nishiston par kamyabi haasil hoti hai to majlis TRS ki madad se mayor ka ohda haasil kar sakti hai lekin halaat is ke isharay nahi day rahay hain.