Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaMayawati par pabandi ke baad bhatije ka pehla siyasi khitaab

Mayawati par pabandi ke baad bhatije ka pehla siyasi khitaab

Lucknow : BSP Supemo Maywati par Election Commission ki janib se aglay 48 ghanton mein kisi bhi qisam ki siyasi sargarmi mein shirkat na karne ki pabandi aed kiye janay ke baad unke bhatije Aakash ney SP , BSP, RLD ittehaad ki janib se Agra mein munaqqid mushtarqa rally mein apni pehli siyasi taqreer ki .

Qabi-e- zikar hai ke Mayawati  is rally mein shirkat na kar saken. unpar Election Commission ney 48 ghanton ki paband aed ki hai. Mayawati  par election commission ki janib se aed kardah pabandi ka nifaz 16 april ki subah 6 bujey se hua hai. Aakash Aanand ney apne mukhtasir khitaab mein awam se appeal ki ke woh ittehaad ke umeedwaron ke haq mein ek Tarfah vote kar ke mukhalif party ke umeed waar ki zamanat zabt karwaen aur Election Commission ko is ka jawab den.

Aakash Anand ka naam BSP ke star intikhabi muhim chalanay walon ki fehrist mein bhi hai. Aakash ney mazeed kaha ke mein aap tamam ka mashkoor hon ke aap log itni badi tadaad mein meri ”Bua“ ( khaala ) ki appeal par jama hue. mein pehli martaba aap tamam ke samnay haazir hua hon. mein aap tamam se ek darkhwast karna chahtahon ke aap ittehaad ke umeed waar ke haq mein vote kar ke is ki jeet ko yaqeeni banayen aur yahi meri bua par aed pabandi ka sahih jawab hoga .- YTN STAFF