Friday, May 10, 2024
HomeIndiaMayawati ne CAA ki himayat karne par party ki rukan-e-assembly ko mo-attal...

Mayawati ne CAA ki himayat karne par party ki rukan-e-assembly ko mo-attal kardiya

Bhopal : Bahujan samaaj party ki supremo Mayavati ne shehriat tarmeemi act ki himayat karne par Madhya pradesh ke patharia se party ki rukan-e-assembly Ramabai Parihar ko moattal kar diya hai. Ramabai Parihar ne haftay ki shaam apne halqa Patharia  mein markazi wazeer Prahlad Patel ki mojoodgi mein munaqidah ek taqreeb mein CAA ki himayat ki thi. Patel ne unki himayat ko tasleem kiya tha aur unki tareef ki thi.

Apne Tweet mein Mayawati ne kaha ke BSP ek nazam wo zabt wali jamat hai, jo party ke nazam wo zabt ko todnay par fouri karwai karti hai. Mayawati ne Ramabai ko porti ke programoun mein hissa lene se rok diya hai. Mayawati ne kaha ke BSP ne sab se pehlay is ko ghair aaeni qarar dekar shehriat tarmeemi act ki mukhalfat ki thi. is silsila mein sadar ko ek yad-dasht bhi di gayi.

Phir bhi rukan-e-assembly Ramabai ne is qanoon ki himayat ki. Ramabai aksar mutanazia bayanaat ke zareya aisi khabrein deti rahi hain, jo party ke khilaaf ho. aur inhen mutadid baar party line par chalne ki Salah di gayi hai. taham Ramabai ne kaha ”Unke bayan ko maskh kiya gaya tha. unhon ne kaha ke BSP ki rooh unke khoon mein basti hai aur wo aakhri saans tak party ke sath rahengi. unhon ne kaha ke ”mera bayan media ne ghalat tareeqay se pesh kiya hai. unhon ne kaha ke wo Mayawati ke raabtey mein hain.

Ek viral video mein Ramabai ne wazeer-e-aazam Modi ka CAA par shukriya ada kiya. unhon ne kaha ke yeh act bohat pehlay aajana chahiye tha. muslim baradri ke kuch log qanoon ki mukhalfat karte hue tashadud phela rahay hain. woh bazahir is ko samajh nahi parahay hain. muashray mein danishmand log hain jo iski mukhalfat nahi kar rahay hain. mafaad parast kuch rehnuma Dosaron ko bhi is act ke khilaaf uksa rahe hain.

Is bayan par Ramabai ne kaha mai ne apni zaati raye ka izhaar kiya hai. iska congress se koi lena dena nahi hai. mera talluq kamal nath jee se hai, nah ke unki party se. agar hum kamal nath jee ki zaati raye par ghhor karen to woh bhi qanoon ki himayat kar satke hain. party ki rukniat kamal nath jee ko qanoon ki mukhalfat karne se rokti hai.

Is saal May mein Ramabai ne ilzaam lagaya tha ke kamalnath hukoomat ko giranay ke liye BJP ne inhen wazarti ohday aur raqam se lalach denay ki koshish ki hai. unhon ne daawa kiya ke kuch Logoun ko BJP ki himayat ke liye 50 crore rupaye tak ki paish kash ki ja rahi hai. –YTN STAFF