Srinagar : Waadi-e-Kashmir mein mawaslati nizam par jari pabandi ne zamana qadeem ki kayi ek yaado ko taaza kiya hai aur log jo kaam phone, E-mail, whatsapp ya Facebook message karkay anjaam diya karte they woh ab ek martaba phir tehreeri paighamaat, qasid ya bazat khud jaakar paegham diye rahay hain.
Kashmir mein guzishta 2 mah se mawaslati nizam badastoor band hai jiske baais awam ko shadeed mushkilaat aur masail ka saamna hai. shumali Kashmir ke qasba barahmola ke rehaishi Nazeer Ahmed ke mutabiq zamana qadeem ki tarha mujhe apne ek rishtedaar ke haan teharnay ke liye ghar walon ko ek dost ke zariye paegham bhejna padha. mein apne ek rishta daar ke haan gaya hua tha jab unhon ne raat ko wahein teharnay ka asraar kiya to mujhe ek dost ke zariye ghar walon ko paegham bhejna padha taakay woh pareshan nah hojaien.
Wasti Kashmir ke zila budgam ke rehaishi zahoor Ahmed ne kaha ke srinagar mein raat guzaarnay se mere ghar walay pareshan hogaye. mein kisi zurori kaam ki anjaam dahi ke liye srinagar gaya tha, kaam ne tole pakar liya jis ke baais mujhe raat ko srinagar mein hi teharna padha, baar baar koshiso ke bawajood ghar walon ke sath rabita nahi ho saka, mein khud to aaram se srinagar mein ek dost ke haan tehra hua tha lekin mere ghar walay raat bhar jagtay rahay aur unhon ne gird nawah ke tamam rishtedaaron ke gharon ki khaak chani, meri walida ne kuch bhi nahi khaya. zahoor Ahmed ne kaha ke jab mein aglay roz ghar pohancha to jaisay mein manasik Hajj ki adaigi ke baad ghar wapas louta tha, sara gaon mere ghar aaya aur mere ahbaab wo aqareb mujhe galey laga rahe the.
Ek sarkari dawakhane mein tainaat ek mulazim ne kaha ke mujhe achanak raat ko hospital mein teharna padha mujhe ghar waloun ko paegham arsaal karne ke liye apne ek saathi ko apne bhejna padha. unhon ne kaha mujhe achanak hospital mein raat ki duty par mamoor rehna padha, ghar walon ko iska ilm nahi tha phir mujhe ghar walon ko ittila bhejnay ke liye apne ek saathi jo mere sath hi hospital mein kaam karta hai, ko ghar bhejna padha jisne mere ghar walon ko mutala kiya.
Mohammad Yousuf Nami ek shehri ne kaha ke mobile phone ke zariye jo kaam minton mein anjaam diya jata tha woh ab hafton ke baad bhi mumkin nahi ho paraha hai. unhon ne kaha mobile phone se jo kaam minton mein anjaam paata tha is ko anjaam dainay ke liye ab haftay lag jatay hain aur phir woh mumkin hi nahi hopa raha hai.
Ghulam Qadir Nami ek shehri ne kaha ke mujhe betay ki shadi par 2 partiyon ko paise dene padhe. unhon ne kaha mere betay ki shadi khanah abadi ki tareekh tey hui to mein ne aashpazoun ki ek party ko muqarar kiya aur inhen poori mazdoori mouqa par hi ada ki taakay yeh log dhoka dahi na karen lekin jab unke sath rabita nahi hua to mein ne majboori ke aalam mein doosri party ko bulaya aur pehli party ne paise is bahanay par hadap liye ke mein ne inhen phir dobarah mutala hi nahi kiya.
Qabil-e-zikar hai ke waadi mein guzashta 2 mah se jahan maloomat zindagi lagataar darham wo barham hain wahein mawaslati nizaam bhi musalsal moattal hai. mobile phone aur internet khidmaat ki muatali se ahliyan Kashmir ko shadeed mushkilaat ka saamna hai. reyasti wo markazi hukoomat mawaslati khidmaat ki bahaali par khamosh hain, dono ka daawa hai ke padosi mulk Pakistan waadi mein mawaslati khidmaat ko apne maqasid ki takmeel ke liye istemaal kar raha hai. –YTN STAFF