Saturday, April 20, 2024
HomeEntertainmentMauseeqi hi mujhe dusron se juda banati hain: Shruti hasan

Mauseeqi hi mujhe dusron se juda banati hain: Shruti hasan

Hyderabad: Pichle do saal logon par saqt guzre hain tanhai maut aur gair yaqeeni soorat e haal ne bohut kuch badal diya. Yeh zindagi badalne wala tajurba Raha hai. Musbat pehlu par usne hamein zinda rehne ki bhi ijazat di. In khayalat ka izhar gulukara aur adakara Shruti hasan unki zehni kaifiyat ki akkasi karte huwe kiya hai.

Shruti ne kaha hai ke lockdown ne mujhe apne aap par tawajjeh markooz karne ke liye bohut waqt diya aur waqayi mausooqi wahi se aati hai jahan insan tanhai mein khud par tawajjeh markooz karta hain. Mujhe nahi lagta ke main lockdown ke dauran zyada likh payi hoon kyun ke zehni dabao bohut zyada tha Gair yaqeeni soorat e haal ke darmiyan band hone ka pura tajurba waqayi taqleeqi taur par madad nahi karta tha chunache jab main ne dubara kaam shuroo kiya aur ghar se bahar nikalne ke qabil ho gayi tab main ne bohut kuch likhna shuroo kiya main jald hi kuch release karne ja rahi hoon. Main waqayi logon ki jaanib se meri mausooqi sunne bohut pur Josh hoon. Yeh mausooqi hi ek aisi cheez hain jo ke mujhe adakar hone ke saath apne aap ko bilkul munfarid andaz mein izhar karne ki ijazat deti hain lehaza main logon ko meri mausooqi sunane ke liye bohut pur Josh hoon aur mausooqi hi mujhe munfarid shanaqt deti hain.

Khubaroo adakara ne mazeed kaha hai ke mujhe khushi hai ke salar jaisi filmein hamein khitton mein Hindustani zubano se rabta qayem karne ka mauqa farahum karti hain. Main ek kaseer ul saqafati Hindustani ghar mein parwan Chad kar khush kismat mehsoos karti hoon. Bade hote huwe main ne Tamil aur hindi seekhi aur is ke alawa Telugu bhi seekha jab main ne 10 saal pehle is film industry mein kaam Karna shuroo kiya tha hamari saqafat khoobsurati se matnoo hai aur mai iska hissa ban kar khush hoon.