Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadMausam-e-Garma Urooj Par, Darja-e-Hararat 46 Degree Celsius Se Bhi Ziyada, Barish Ki...

Mausam-e-Garma Urooj Par, Darja-e-Hararat 46 Degree Celsius Se Bhi Ziyada, Barish Ki Paish Qiyaasi

Hyderabad: Mausam-e-garma is waqt apne poori shidad se agay badh raha hai aur aindah chand dinon ke douran garmi ki shiddat mein mazeed izafay ki paish qiyaasi bhi ki gayi hai lekin awam ke liye ek  raahat ki khabar yeh bhi hai ke rawan haftay ke aakhri ayyaam mein barish ki paish qiyaasi bhi ki gayi hai. riyasat Telangana   ke alawa shehar Hyderabad ke mukhtalif maqamat par darja-e-hararat 46 degree Celsius se bhi ziyada record kiya gaya hai. riyasat Telangana  mein sab se ziyada darjah hararat zila Khammam mein darj ki gayi hai jahan darjah hararat 46 degree Celsius record hui hai. isi tarhan shehar Hyderabad mein Maula Ali sab se garam tareen ilaqa raha jahan ki darjah hararat 44.4 degree Celsius record ki gayi hai. Secunderabad shehar mein Begumpet ke ilaqay mein ziyada se ziyada darjah hararat 42.3 degree Celsius record ki gai hai .

Hyderabad ke beshtar maqamat par ziyada se ziyada darjah hararat 42 degree se ziyada record hui hai. taiz dhoop ka asr subah aath aur no bajey se hain shuru ho kar shaam 5 bajey tak bhi barqarar reh raha hai. is ke alawa ghuroob-e-aftaab ke baad bhi garam hawaoon ka silsila jari rehne se awam ko kaafi pareshani horahee hai. guzashta 3 dinon ke douran darja-e-hararat mein taqreeban 3 degree Celsius ka izafah hua hai. IMD ki janib se mausam ki paish qiyaasi ki jo tafseelaat jari ki gayi hai is mein din aur raat ke darjah-e-hararat mein musalsal izafah hi bataya ja raha hai lekin yeh paish qiyaasi bhi ki gayi hai ke rawan haftay ke aakhri ayyaam mein barish ke imkaan ko bhi mustard nahi kiya ja sakta jis ke baad awam ne kisi qader raahat ki saans li hai. mehakma mosmiyat ne paish qiyaasi ki hai ke riyasat-e-Telangana  aur shehar Hyderabad mein garam tareen mausam aindah chand dinon mein mazeed shiddat ikhtiyar kar sakta hai darjah hararat mein izafay ka bhi khadsha zahir kiya gaya hai. shadeed tareen mausam mein awam ko hidaayat di gayi hai ke woh subah 10 bajey taa shaam 4 bajey ke douran baghair kisi ahem kaam ke bahar niklne se ahtiyat karen aur agar un auqaat mein niklne ke alawa dosra koi rasta nah ho to dhoop se bachney ke har ek  ahteyati tadabeer ikhtiyar karen . –YTN STAFF