Hyderabad: Rawan parlimani intikhabaat mein phir ek martaba hindustani siyasat ke azeem rehnuma Maulana Abul kalam azad ka ghair mutawaqqa dakhla Hua hai halaanke Hindustan ki tareekh aur siyasat azeem rehnuma aur mufakir Maulana Abul kalam azad ke Tazkiroun ke baghair mumkin nahi lekin wafaat ke kayi baras baad Maulana Abul kalam azad par ek martaba hindustani siyasat mein liya jaane wala naam hai yeh darasal BJP ko Chodte hue congress ka daman thaamnay walay leader Shatrugan sinha ki ek awaami Rally mein ki gai taqreer ke douran zabaan ki laghzish rahi kyunkay unhon ne congress ko Hindustan ki taraqqi aur mulk ko mustahkam karne mein ahem party qarar dete hue is ke baani leadron ke naam ganwaye they jis mein Mahatma Gandhi ke sath Jawaharlal nehru sardar Vallabhai patel aur Maulana Abul kalam azad ka naam lainay ke bajaye unhon ne muslim league ke baani aur Pakistan ka nazriya paish karne walay Mohammad Ali Jinnah ka naam le liya .
Congress ke leader hotay hue Shatrugan sinha ne jaisay hi Maulana Abul kalam azad ki jagah Mohammad Ali Jinnah ka naam liya barsar iqtedar BJP jo kay hamesha musalmanoon ke naam par Hindustan mein firqa waranah mahol paeda karti hai usay ek aur sunehri mauqa haath agaya ke isne Shatrugan sinha ke bayan ke douran honay wali zabaan ki ghalti ko apne liye sood-mand hathyaar banatay hue awam mein yeh Propogandah shuru kardiya ke congress aaghaz se hi Pakistan ki himayati jamaat hai halaanke agar Hindustan ke pehlay wazeer-e-taleem Maulana Abul kalam azad ki siyasi zindagi aur azaadi ke liye ki jaane wali unki giran qader mehnaton ka mutala kiya jaye to andazah hota hai ke Maulana jaissa hub-ul-watan aur hindu muslim ittehaad ka nazariya paish karne wala amli qaed dosra shayad koi hoga. Unhon ne azaadi se qabal hi taqseem hind ki mukhalfat karte hue usay hindustani qoum ke liye tabah kin qarar dainay ki jo paish qiyaasi ki thi aaj 70 baras baad woh paish qiyaas ek bhayanak haqeeqat bankar hamari aankhon ke samnay mojood hai .
Maulana Abul kalam azad taqseem hind ke mukhalif they kyunkay woh achi tarha jantay they ke taqseem hind se musalmanoun aur Hindustan ke masail khatam nahi honge balkay yeh masail taqseem ke baad hindu muslim nafrat ki bunyaad par mazeed sangeen hojayenge. Shatrugan sinha ne halaanke baad mein aitraaf kiya ke zabaan ki laghzish ki wajah se unhoun ne Mohammad Ali Jinnah ka naam liya halaank unka Mansha-e-Hindustan ke pehlay wazeer-e-taleem Maulana Abul kalam azad ka naam lena tha jin ka hindustani siyasat mein aur khaas kar taqseem hind ki mukhalfat ke sath mulk ko honay walay nuqsanaat ki paish qiyaasi mein jo kirdaar hai woh na qabil-e-faramosh hai. Maulana Abul kalam azad ne apni kitaab India venus freedom mein jo kuch likha hai woh tareekhi dastawizaat hain. hindustani musalmanoon aur khud hindustani awam ka yeh al-Miya hai ke jis siyasi qaed ne kam Umri mein Indian National Congress ki sadarat jaisay ahem ohday par Faiz hotay hue Hindustan ko ek muttahid riyasat ka nazriya paish kya aur Angrezo se azaadi ke baad taraqqi ki simt taizi ke sath gamzan honay ki jo raah unho ne batee thi woh qubool nahi ki gayi balkay azaadi ke baad mutasib jamaaton ne Maulana Abul kalam Azad ko hindustani siyasat se hain gayab kardiya halaanke unke saathi jaisay Jawaharlal Nehru sardar Vallabhai patel aur Subhash Chandra bose ko ahmiyat dainay ke alawa inhen BJP aur RSS ke log hamesha hi apni taqriron ka mauzo banatay hain lekin un sab se ziyada door andaish, Muhib-e-watan aur Hindustan ke ittehaad ke sath qaumi taraqqi ka nazriya paish karne walay insaaniyat dost Leader Maulana Azad ko bhala diya gaya .
Maulana Abul kalam azad Hindustan ke roshan abwab ka woh hissa hain jisay mutasib nazriye ke haamil afraad chahay apne Aasar rasookh ka jitna chahay istemaal karte hue mitanay ki koshish karen yeh aasani se mitney wala baab nahi kyunkay Maulana Abul kalam azad ki jadein kurrah-e-arz ki sab se muqaddas zameen Mecca Mukaramah mein paivest hain aur Hindustan ko angrezo ki ghulami se azaadi dilwanay mein unki taqreeri aur tehreeri kawish aaj dastawizaat ki shakal mein duniya ke samnay roshan sitara ki tarha mehfooz hai jis ka inkaar aur is se faraar ikhtiyar karna namumkin hai .
Maulana Abul kalam Azad 1888 ko Mecca Mukarramah mein peda hue bachpan se hi un mein azeem tareen qaied ki khoobiyan zahir honay lagi thi yahi wajah hai ke 1923 mein woh sirf 35 baras ki Umar mein Indian National Congress ke nojawan tareen sadar banay jis ke baad jab Hindustan ko azaadi mili to 1947 se 1952 tak woh nehru ki kabeena mein azad Hindustan ke pehlay wazeer-e-Taleem rahay jin ki koshisho ki wajah se Hindustan ko IIT, School Of Planning and Architecture aur Jamia Milliya Islamia University jaisay taleemi marakaz dastyab hue hain. Maulana Abul kalam azad ki zahanat ke mutaliq Sarojni Naidu ne kaha tha ke unki zahanat ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke jis waqt Maulana Abul kalam Azad paeda hue they woh 50 baras ke they. Maulana Abul kalam Azad musalmanon ke hi leader nahi they jaissa ke aaj BJP aur RSS inhen musalmanoon ka leader ka label laga kar firqa parasti ko farogh dainay ki koshish karte hain bilkul Maulana azad Hindustan aur Hindustan ki har qoum ke leader they jis ka andaza khud is tareekhi haqeeqat se lagaya jasakta hai ke jab 1952 mein Hindustan mein pehli martaba parlimani intikhabaat ho rahay they to is waqt ke wazeer e azam Jawaharlal Lal nehru ne Maulana Abul kalam Azad se kaha tha ke woh Uttar pradesh ke Rampur ilaqay se intikhabaat lad rahe , jab Maulana ne tajassus se poocha ke aakhir kyun to nehru ne jawab diya tha ke Rampur woh parlimani halqa hai jahan musalman aksariyat mein mojood hain lehaza aap ki kamyabi yaqeeni hogi, jis par Maulana Abul kalam azad ne Jawaharlal nehru ki baat ko kaatetay hue kaha tha ke mein Hindustan ka leader hon nah ke musalmanoon ka .
Maulana Abul kalam azad nah sirf taqseem hind ke mukhalif they balkay unhon ne yeh paish qiyaasi bhi kar di thi ke taqseem hind ke baad Pakistan ke naam par jo mashriqi aur maghribi Pakistan tashkeel diya gaya hai is ka ittehaad bhi bohat jald toot jaye ga kyunkay mashriqi aur maghribi Pakistan ki tahazeeb aur zabaan allag honay ke ilawa bohat kuch aisa hai jo ek dosray se mushtarik nahi hai. aaj hum dekhte hain ke Maulana azad ne jo kayi baras qabal paish qiyaasi ki thi woh aaj sahih saabit hochuki hai. musalmanoon ki aksariyat ke naam par jis Pakistan ki tashkeel hui thi aaj woh do hisson mein hamaray samnay Pakistan aur Bangladesh ki shakal mein mojood hai. Maulana azad ne azaadi se qabal hi Congress aur muslim league ke darmiyan hindu muslim maslay se jo tafreeq mojood thi usay taqseem hind ke baad do reyaston ke darmiyan honay walay maslay ke tor par paish qiyaasi ki thi aur yeh paish qiyaasi bhi aaj hamaray samnay talkh haqeeqat ki shakal mein mojood hai. BJP aur Rss jo ke sardar patel ko Hindustan ko muttahid karne ka maimaar ke tor par paish karte hain jabkay asal mein sardar patel hi Hindustan ki taqseem ke 50% is waqt hi haami ho chuke they jis waqt lard maont batten manzar-e-aam par bhi nahi aeye they .
Maulana Abul kalam azad ne pehlay hi keh diya tha ke inhen yeh dekh kar taajjub Hua hai ke patel do reyaston ke itnay ziyada haami hain jitna ke jinah ne do reyaston ki himayat nahi ki. Maulana Abul kalam azad kehte hain ke jinah ne yaqeenan do reyaston ke parcham ko lahraya lekin is se ziyada patel is qaafley ke parcham bardaar rahay jis ne do reyaston ka nazriya paish kiya tha. Maulana azad ne kaha tha ke sardar patel hindustani taqseem aur do reyaston ke nazriye ke baani hain. un tamam haqayiq par BJP aur Rss parda poshi karte hue Hindustan ek qoum ka nazriya paish karne walay aur apni zindagi mein amli saboot dainay walay Hindustan ke pehlay wazeer taleem Maulana Abul kalam azad ko aaj ke siyasi manzar se gayab karte hue sardar Vallabhai patel ko muttahid Hindustan ke hero ke tor par paish karne mein koi kasar nahi chortay, halaank Maulana azad woh leader they jinhon ne ittehaad mein Hindustan ki taraqqi ki paish qiyaasi ki thi aur khud amli tor pras ka saboot bhi diya tha .- YTN STAFF