Tuesday, April 23, 2024
HomeOthersHealthMask pehan kar werzish karna jaan lewa saabit ho sakta, Mahireen ka...

Mask pehan kar werzish karna jaan lewa saabit ho sakta, Mahireen ka intibah

Hyderabad: Is waqt saari duniya corona se pareshan hai aur loog apni qowat mudafat ko taaqatwar bananay ke liye werzish ko ahmiyat day rahay hain halaank Gym aur Fitness Centers band honay ki wajah se awam ko mushkilaat ka saamna karna padh raha hai lehaza loog mask lagaakar muhallay ke mehdanoun mein chehal qadmi aur jogging kar rahay hain lekin mahireen ney khabardaar kiya hai ke Mask lagaakar werzish karna sahet ke liye mazeed mazar hai.

Tibbi mahireen ney kaha hai ke aalmi waba coronavirus se bachao ke liye mask pehan kar werzish karne ke nateejay mein Oxygen ki kami aur zahrili Gas ke dobarah pehphdoun mein jaaane se sahet par muzir asraat muratab ho satke hain. Aalmi idaara baraye sahet WHO ke mutabiq Covid-19 se bachao ke liye mask pehnana nihayat zaroori hai lekin werzish ke douran mask pahannay ke nataij khatarnaak saabit ho satke hain.

Mahireen ne kaha hai ke is waba ke douran ghar mein hi werzish karna behtar hai, Agar baher khuli fiza mein werzish karna chahtay hain to mask pahannay ke bajaye Social Distancing ka khayaal rakhna nah bhulain. Tibbi mahireen ke mutabiq werzish ke douran dil ki dhadkan badh jati hai, Saans ke zariye ensaan ziyada se ziyada oxygen andar kheanch raha hota hai aur muzir sahet gas carbon dioxide baher nikaal raha hota hai, Is douran paseena anay ki soorat mein mask geela ho sakta hai jis se saans lainay mein dushwari ho sakti hai.

Tibbi mahireen ne kaha hai ke mask pehan kar werzish karne se Hyper ventilation ka saamna karna pad sakta hai jis ke nateejay mein dimaghi salahiyat mutasir honay ke khadshaat badh jatay hain. Mask pehan kar werzish karne ke nateejay mein aap zehni uljan ka shikaar ho satke hain, Dil ka dora padney ke khadshaat kayi guna badh satke hain aur oxygen ki sahih miqdaar nah milnay par be-hosh bhi ho satke hi.

Agar achaa mehsoos karne ke liye khuli fiza mein werzish karne niklay hain aur sath mein mask bhi pehan rakha hai to ye sahet ke liye faida mand kam nuqsaan ka sabab ziyada ban sakta hai, Mask pehan kar Cycling, Running ya Jogging ki raftaar bhi mutasir hogi.

Mask pehan kar werzish karne ke nateejay mein thaknay ke alawa aur koi misbet pehlu haasil nahi hoga. Mahireen ke mutabiq agar aap mask ke sath werzish kar rahay hain aur is douran seenay mein dard, Chakkar aana aur saans lainay mein mushkil ka saamna ho to foran kahin aram se baith jayen aur apni sansen bahaal honay tak aram kare.

Jo ghar mein werzish karne ke aadi hain ya is waba ke douran ghar mein werzish kar rahay hain unn ke liye mask pehnana laazmi nahi hai. Mahireen ke mutabiq agar ghar se baher halki phulki chehal qadmi karne ki gharz se niklay hain to aisi soorat mein Mask ka istemaal kiya ja sakta hai, Aisa mask jis se huwa ka guzar aasaan ho. Jo afraad Asthma, dil ke aarze aur pehphdoun ki kisi bemari mein mubtala hain to unn ka mask pehnana nihayat khatarnaak saabit ho sakta hai.