Saturday, May 18, 2024
HomeOthersHealthMask aur Ventilator baraamdaat ki manzoori mujremana saazish: Congress

Mask aur Ventilator baraamdaat ki manzoori mujremana saazish: Congress

New Delhi: Congress ne Mask aur Ventilator bar aamadgi ki ijazat ko saazish qarar dete huve kaha hai ke aalmi sahet tanzeem WHO Coronavirus ke pesh e nazar un ashya ke jama karkay rakhnay ki hidayat ke bawajood un ki bar aamdgi ki ijazat di gayi hai jo ek mujremana saazish hai. Congress ke tarjuman Randeep Singh Sarjewala ne Twit karkay hukoomat ke is rawayya par tanqeed ki aur ilzaam lagaya ke is ne 10 guna ziyada qeemat par is samaan ko bar aamad kiya hai.

Party ne usay mujremana saazish qarar dete huve kaha WHO ne Ventilator, Surgical Mask, Disposable Surgical, khorag ki bar aamadgi Hindustan ne 19 March tak 10 guna qeemat par farokht karne ki ijazat di. Is ke sath hi unhoun ne hukoomat Hind ke is hukum ko bhi Post kiya hai jis mein un ashya ki bar aamadgi ki ijazat di gayi hai. Is se qabal Supreme Court Bar Association ke sadar Dushyant A. Dave ne daleel de ke har shakhs adalat anay se khaufzadah hai, To adalat mein chutiyo ke elaan par ghor kiya jana chahiye.

 Taham Justice Bobde ne kaha ke is mein bohat se masail hain. Court mein chhutioun ka elaan karne ke douran kuch muqadmoun ki Appeal ki muqarara waqt ki had ( Limition Muddat ) khatam hojaye gi. Is baray mein bhi ghhor karna hoga. Is par solicitor General Tshaar Mehta ne kaha ke adalat limitation muddat badhaane par ghor kar sakti hai.

Is silsila mein Chief Justice ne kaha ke koi bhi aadmi baher nahi ja raha hai. Is liye usay Court band honay ki soorat mein bhi file kiya ja sakta hai, Lekin Mister Dave ne kaha ke har koi muqadma File karne Court anay se dara huva hai. Unhoun ne kaha ke Coronavirus ke pesh e nazar adalat ko 4 hafta ke liye band kar dena chahiye, Is ki talaafi mausam garma chhutioun mein ki ja sakti hai.

Is ke baad adalat ne Video Conference ke zareya behas karne ya pesh honay ka bandobast kiye jaaney par ghhor kiya.

Coronavirus se bachney ke liye mulk mukammal toud par Lockdown ki taraf gamzan hai. Itwaar ku Janata Curfew ki kamyabi ke baad aaj se mulk ke 75 azlaa mein Lockdown kardiya gaya hai jis se Coronavirus ko phelnay se roka ja sakay. Isi silsila mein mulk ki sab se badi adalat, Supreme Court mein bhi aam karwai multawi kardi gayi hai. Aaj sirf Chief Justice ki Bench Urgent muqadmaat ki samaat kar rahi hai, Aur Case se munsalik wakla se kaha gaya hai ke wo Video Conferencing ke zareya apni daleel pesh kar satke hain. Is douran Supreme Court mein Advocate aan Report Association ne qarardad Pass karkay kaha hai ke un ka koi bhi rukan kisi bhi soorat mein pesh nahi hoga. –YTN STAFF