Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsMasjid Ul Haram mein Sanitizing Gates ka tajurbah

Masjid Ul Haram mein Sanitizing Gates ka tajurbah

Riyadh: Masjid Ul Haram aur Masjid Nabawi ﷺ ke umoor ki General Presidency ke tarjuman ne kaha hai ke Advanced Sanitizing Gates tajribati hain. Ramadan ke aakhri ashray mein inhen istemaal karne ki khabrain durust nahi hain. Presidency ke tarjuman Hani Bin Husni Hider ne kaha hai ke Advanced Sanitizing Gates se mutaliq Social Media par Viral Video ka ye daawa durust nahi ke ye Gates Ramadan ke aakhri ashray mein Masjid Ul Haram ke zaireen ke liye nasb kiye gaye hain.

Tafseelaat ke mutabiq un dinoun Social Media par Advanced Sanitizing Gates ki tasaveer Viral hain. Jin mein daawa kiya ja raha hai ke ye muqaddas Masajid ki intizamia ne ye Gate tayyar karwaye hain taakay Ramadan ke aakhri ashray mein inhen Haram muki ke bairooni sehnoun mein nasb kiya jasakay. General Presidency ke tarjuman ne mazeed kaha ke Social Media par Viral Video mein jo Advanced Sanitizing Gates dekhey jarahay hain ye tajribati hain.

Masjid Ul Haram ke darwazoun aur sehnoun mein un ka tajurbah hoga.  Tajruba kamyaab honay ki soorat mein un se istifada kiya ja sakega. General Presidency ke tarjuman ne mazeed kaha ke Social Media par gardish karne walay  is daaway ki koi haqeeqat nahi ke ye Gates Ramadan ke aakhri ashray mein zaireen ke liye nasb kiye gaye hain.  Social Media ka ye daawa mehez afwaah hai is par kaan na thara jaye. Tarjuman ke mutabiq muqaddas Masajid ki intezamiya Novel Coronavirus se zaireen Haram ko bachanay ke liye tamam mumkina hifazati intizamaa kar rahi hai.

Is silsilay mein mutaliqa idaroun ka taawun bhi liya ja raha hai. Muqaddas Masajid ke tamam amlay ko Corona ki waba se bachanay ki koshisho mein masroof hai. Tarjuman ne mazeed kaha ke tamam logoun se Appeal hai ke wo muqaddas Masajid se mutaliq tamam it-tila-aat General presidency aur is ki Website se hi haasil karen. –YTN STAFF