Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsMasjid Ul Haram aur Masjid Nabawi mein taraveeh ki Namaz ada ki...

Masjid Ul Haram aur Masjid Nabawi mein taraveeh ki Namaz ada ki gayi

Mecca Mukaramah: Ramadan Ul Mubarak ki pehli shab ko Masjid Ul Haram Mecca Mukaramah aur Masjid Nabawi Madina Munawwara mein Isha aur Taraveeh ki namazain bajmaat ada ki gayeen. Tafseelaat ke mutabiq Isha aur taraveeh mein muqaddas Masajid ki intizamia ke ohdedaroun aur dono Masajid ki safai aur Sanitizing par mamoor afraad bhi shareek huve. Intizamia ne mah Mubarak ke douran dono Masajid mein aam Namazyoun ki shirkat par pabandi barqarar rakhi huvi hai. Ye pabandi naye Coronavirus se bachanay aur usay phelnay se roknay ke liye sahet hukkaam ki hidaayat par lagi huvi hai.

Taraveeh 20 rakaato ke bajaye 10 rak-at hi padhi gayi. Masjid Ul Haram aur Masjid Nabawi ﷺ intezamia ke sarbarah alla Sheikh Dr Abdul Rehman Al-Sadees ki tajweez par 10 rakatuno par hi iktifa kiya gaya. Yaad rahay ke is se qabal ye ittila aayi thi ke yakam Ramadan ko Masjid Ul Haram mein taraveeh ki 6 rakaten imam o khateeb Sheikh Dr Saood Al-Shareem padhyenge jabkay baqi 4 rakaate aur Vitar dono muqaddas Masjid ki intizamia ke sarbarah Alla Sheikh Dr Abdul Rehman Al-Sadees padhange. –YTN STAFF