Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderMasjid Noor, France mein Turkey ke qawaneen nafiz nahi hone denge :...

Masjid Noor, France mein Turkey ke qawaneen nafiz nahi hone denge : Micro

Paris: France mein taamer hone se qabal hi tanaza ka shikaar hone wali Masjid phir ek martaba surkhyoun mein hai halaan ke is Masjid ki taamer aur deegar umoor ki tehqiqaat Francesi hukkaam ki janib se hanooz jarahi hain aur isi douran France ke sadar Emmanuel Macron ne kaha ke wo apne mulk mein Turkey ke qawaneen nafiz hone nahi den ge. France ke sadar Emmanuel Macron ne kaha ke un ka mulk Francesi sarzamen par Turkey qawaneen ka itlaq nahi hone day ga. Ek press bayan mein sadar Macron ne kaha ke toloz ke maqam Al-Noor Masjid ki taamer ke liye maali muawnat aur is ke aas paas ke mansooboun ke baray mein tehqiqaat jari hain.

Ye qabil zikar hai ke Noor Masjid France mein sarzamen par taamer ki jaaney wali sab se badi Masjid hai. Ye ek ibadat gaah ke sath sath siyasi saqafati sar garmioun ka bhi markaz hai. Is Masjid ki taamer ka kaam 2009 mein huva tha lekin ye abhi tak zair takmeel hai. Ye Masjid France mein Akhwan ul Musalmoun se munsalik ek anjuman aur siyasi Islam ke pirokaroun ke zareya chalaye jarahi hai. Sadar Emmanuel Macron is mansoobay ke khilaaf iqdamaat ka iradah rakhtay hain. France mein azeem ul shan Masjid ke qiyam ko intahaa pasand Islam ke liye maali eaanat ke markaz ke tor par jana jata hai kyunkay is ki taamer par taqreeban 28 Million Euro ka budget mukhtas hai. is ka aadha Budget Qatri tanzeem, Qatar Charity se aata hai. is tanzeem par bad unwani aur Money laundering ka ilzaam bhi ayed kiya jata hai. France ke 2 sahafioun ne Qatar Papers ki unwan se is tanzeem ki Corruption be naqaab kar di hai. Francesi ne kaha ke Anqarah ko ye samjhna chahiye ke Paris alahedgi pasand rujhanaat rakhne walay shiddat pasandoun ki himayat ko qubool nahi kere ga. –YTN STAFF