Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsMasjid Nabawi mein Namaz ke liye aam afraad par honoz pabandi

Masjid Nabawi mein Namaz ke liye aam afraad par honoz pabandi

Madina: Masjid Nabawi intizamia ne elaan kiya hai ke jummay aur farz namazoun ke liye Masjid Nabawi ﷺ aam nmazyoun par pabandi thi, Hai aur honoz barqarar rahay gi. Agli hidayat tak aam namazyoun par pabandi jari hai. Tafseelaat ke mutabiq Masjid ﷺ ki anttamih ne ye wazahat social media par gardish karne wali un it-tila-aat ki tardeed mein jari ki hai jin mein daawa kiya ja raha tha ke Saudi hukoomat ne Masjid ﷺ ke darwazay aam namazyoun aur zaireen ke liye khol diye hain.

Yaad rahay ke Saudi hukoomat ney 26 May ko elaan kiya tha ke mumlikat ki tamam Masajid jummay aur farz namazoun ke liye itwaar 31 May se khol di jayengi lekin is silsilay mein Masjid Al-Haram Mecca Mukarmah aur Masjid Nabwi ﷺ Madina Munawwara ka tazkara nahi kiya gaya tha kyunkay Islami duniya ki ye dono muqaddas Masajid jummay aur farz namazoun ke liye musalsal khuli huvi hain. Yahan aam namazyoun ki aamad par pabandi hai aur dono Masajid ka amlah aur Security Force ke ohdedar un mein namazain ada kar rahay hain. Baaz logoun ney Saudi hukoomat ki janib se mumlikat ki tamam Masajid ke kholnay kholnay jaany ke faislay Masjid Al-Haram aur Masjid ﷺ par bhi laago kardiya tha jis ka koi juwaz nahi kyunkay ye dono Masajid aam namazyoun ke dakhlay par pabandi ke sath jummay aur farz namazoun ke liye kabhi band nahi huven. –YTN STAFF