Tuesday, May 14, 2024
HomeTrending NewsMasjid Nabawi itwaar se namazioun ke liye kholnay ka elaan

Masjid Nabawi itwaar se namazioun ke liye kholnay ka elaan

Madina: Madina Munawwara ku kholne ka elaan kiya hai ke itwaar 31 May se Shahi manzoori par Masjid Nabawi ﷺ namaziyoun ke liye khol di jayegi. Masjid Al Haram o masjid Nabawi ﷺ umoor ki general Presidency ke sarbarah Dr. Abdul Rahman Al-Sudais ney bayan mein kaha ke Masjid Nabawi ﷺ itwaar 31 May se hifazati tadabeer ke sath marhala waar khol di jayegi.

Tafseelaat ke mutabiq general Presidency coronavirus ko phelnay se rukne aur namaziyoun ko is se bachanay ke liye thos hifazati iqdamaat kiye huve hai. namaziyoun par pabandi hai ke wo ek dosray se faaslay par khaday hon. Rozana ki ban bunyaad par Masjid Nabawi ﷺ ko mukhtalif auqaat mein Sanitizing kiya ja raha hai.

Masjid nabwai ﷺ anay walay karkunaan aur mukhtalif idaroun ke ehalkaroun ka rozana corona test liya ja raha hai. Masjid Al Haram o masjid Nabwi ki general Presidency masjid nabwi anay waloun ka darjaa hararat check karne ke liye thermal camera nasb kiye huve hai. Ye 24 ghantay khudkar nizaam ke tehat har anay walay ka darjaa hararat maloom karte hain. Wizarat sahet ke maahir thermal cameron ki nigrani kar rahay hain. Camera masjid Al Haram ke mutadid darwazoun par nasb hain.

Yaad rahay ke wizarat dakhla ne itwaar 31 May se Saudi Arab mein jari curfew mein narmi ke elaan ke sath ye bhi kaha tha ke tamam Masajid jummay aur farz namazain jamaat ke sath ada karne ke liye khol di jayengi taham Mecca Mukarmah ki Masjid is se mussani hongi. Masajid mein hifazati tadaabeer ki pabandi laazmi hogi. Masjid Al Haram mein jummay aur bajmaat namazain ahteyati tadabeer ke sath jari rahengi. –YTN STAFF