Sunday, April 20, 2025
HomeExclusiveMasjid ki zameen par Mandir taamer ayeni eqtedaron par hamla hai. SDPI

Masjid ki zameen par Mandir taamer ayeni eqtedaron par hamla hai. SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ne apne akhbaari aalamia mein 5 August 2020 ko Ayodhya mein Ram Mandir ki sang bunyaad ki takreeb par apne rad-e-amal ka izhaar karte hue kaha hai ke Babri Masjid ki sar zameen par Masjid ki zabardasti inhedam ke baad Ram Mandir taamer karna ghair ikhlaqi, ghair munsifana aur jamhoori aur Secular eqdaar ke liye ek challenge hai. MK Faizi ne mazeed kaha hai ke Babri Masjid taweel arsa se RSS ke liye ek siyasi aalakar raha hai aur Ram Mandir ke naam par mazhabi jazbaat ko bhadka kar markaz mein BJP iqtidaar mein aayi hai.

BJP ab ek mazboot aksariyat ke sath doosri meyaad mein hukoomat kar rahi hai. Mulk ke tamam jamhoori aur seculer nizamon ko BJP ne bhagva rang didiya hai taakay wo masjid ki zameen par baghair kisi mukhalifat ke mandir ki taamer kar saken. Babri Masjid muqadmay mein supreme court ke hatmi faislay ko tamam hak parast logoun aur qanooni mahireen ne na-insafi qarar diya hai. Adalat-e-uzma ne faislay mein darj apne hi inkishafaat ke khilaaf faisla sunaate hue masjid ki zameen ko mandir taamer karne ke liye hawalay kardiya tha. Yahan tak ke congress party ke qaideen jo ab josh-o-jazbay ke sath

wo congress party ke leaders ney adalat ke faislay ko ghair munsifana qarar dete hue is ki muzammat ki thi. Yaad rahay ke yahi congress party jo markaz aur Uttar Pradesh mein bar ser iqtidaar thi is ney 1949 mein masjid ke and Ram moorti rakhnay se leker 1992 masjid ke inhedam tak kayi terhan ki karwaiyon ke zariye RSS ke Agenda ko kamyaab honay mein sahoolat faraham ki thi. Congress ke kayi rehnuma 5 August ko Ayodhya mein Bhomi Pooja mein madoo nah honay par pareshan hain. Un mein se kuch ney yahan tak kaha hai ke mandir ki taamer tamam Hindostanyon ki razamandi se ki jarahi hai.

Congress qaideen ne abhi tak ye nahi samjha hai ke intikhabaat mein un ki mustakil shikast un ke posheeda Hindutva agenda ka nateeja hai. Taham, Wo hindutva ke Agenda mein BJP se muqaabla karkay Iqtidaar mein wapsi ka ehmaqana khawab ko abhi bhi dekh rahay hain. Wazeer-e-Azam Narendra Modi Bhoomi Pooja ki takreeb mein shareek honay ki ittila hai. Mister Modi is haqeeqat ko nazar andaaz kar rahay hain ke wo 130 crore logon ke secular aur jamhoori hindostan ke Wazeer-e-Azam hain. Bator Wazeer-e-Azam Ram Mandir ki Bhoomi Pooja ki takreeb mein un ki shirkat intahi ghair ikhlaqi, Halaf ki khilaaf warzi aur ghair ayeeni iqdaam hai. SDPI qaumi sadar MK Faizi ney tamam secular awam aur partiyon par zor diya hai ke wo BJP hukoomat ke is jarehana aur ishtial angaiz iqdamaat ki mukhalifat karen aur Babri Masjid maslay mein muslim baradri ke sath khaday rahen.