Hyderabad: Rajab ka maheena chal raha hai aur rawan hafta Shab-e-Miraaj duniya bhar ki Masajid mein manea jayega aur Miraj ke waqea ko phir taaza kiya jayega jis mein Masjid Haraam se Masjid Aqsa ke jumlay phir kaanoun mein kuunjenge lekin is waqt duniya bhar ke logoun ki zabanoun par Coronavirus ka naam hai aur mohlik bemari se bachney ke liye Muslim duniya ne jo iqdamaat kiye hain wo phir ek martaba Masjid Haraam se Masjid Aqsa ke jumla ko ujagar kardiya hai kyunkay jahan ek janib Masjid Haraam mein tawaif ko moattal karne ke alawa Umrah ko bhi moattal kardiya gaya hai wahein Masjid Aqsa ko bhi band kardiya gaya hai is ke alawa Muslim mumalik mein panjgana ke alawa Jummay ke Namaz par bhi pabandi ayed kardi gayi hai jabkay Kuwait, Mutahidda Arab Emirat, Amman, Saudi Arab, Urdan, Shaam, Turkey aur deegar Muslim mumalik ne is mohlik virus ko phelne se rokne ke wo faislay kiye hain jin ki misaal maazi qareeb mein nahi millti.
China ke shehar Wuhan se duniya bhar mein phelne walay Coronavirus ke khauf ke baais jahan deegar mumalik ahem iqdamaat kar rahay wahein Muslim mumalik bhi is waba se awam ko mehfooz rakhne ke liye har mumkin koshishoun mein masroof hain. Ab tak Muslim mumalik ki janib se Coronavirus jaisay khatarnaak marz se awam ko bachane ke liye kayi iqdamaat kiye gaye hain. Khliji mulk Kuwait mein azaan ke zareya logoun ko gharoun mein Namaz aada karne ka pegham diya ja raha hai. Kuwait ke Mauzan ne ahteyati tadabeer ke pesh e nazar azaan mein thodi si tarmeem karte huve logoun ko gharoun par namazain ada karne ki talqeen ki jis ka Videos Social Media par Viral bhi huva hai.
Muezzin ne azaan ke darmain, hi Ala Salah, ( Namaz ke liye ayen, Ke bajaye, ( Namazain ghar par ada karen ) ka jumla kaha taakay kam se kam loog Masajid ki janib ayen. Coronavirus ki waba phelne ki wajah Iran, Misar aur Oman mein Namaz Jummay ke ijitmaat mansookh kardiye gaye hain aur Saudi Arab ne Umrah zaireen ke dakhlay par pabandi ayed kardi hai. Saudi Arab ne jaraseem kash Spray ke amal ke liye Khane Kaaba mein zaireen ki aamad par bhi earzi pabandi lagai lekin zaireen ko din ke waqt Masajid mein ibadat ki ijazat di gayi.
Turkey mein bhi Namaz Jummay sameit tamam baday ijitmaat ko mansookh karne ka elaan kiya gaya lekin hukkaam ne un afraad ke liye Masajid khuli rakhi hain jo ek dosray se ilaaqoun se daur reh kar ibadat karne ki gharz se aana chahtay hain. Palestine dar-ul-hukoomat Baet ul Muqaddas mein ahteyati tadabeer ke tehat Masjid Aqsa ke muntazmeen ko hidaayat di gayi hai ke ibadat gaahoun ki hudood mein logoun ko jama na hone diya jaye. Masjid Al-Aqsi aur Quba Al-Sakhra ek dosray ke qareeb waqay hain jis ke pesh e nazar yahan bhi thedidat ke ehkamaat jari kiye ja chukay hain.
Mutahidda Arab Emirat ( UAE ) mein hukoomat ne Coronavirus ke khadshay ke baais Masajid mein Namaz sameit tamam mazahab ki ibadat gaahoun mein ibadat aur degar samaji takrebaat ko moattal kardiya hai. Iraq ke shehar Karbala mein bhi Jummay ke ijitmaat par pabandi ayed ki gayi, Jabkay Ayatullah Ali Al Sistani ne logoun se ijtimai namazoun par pabandi ki Appeal ki hai. Lebanon mein bhi hukoomat ne un afraad ko ghar mein ebadaat karne ki hidaayat ki jin ka qouvat mudafat kamzor hai.
Coronavirus ki rokk thaam se bachao ke liye jahan mahireen awam ko hidaayat day rahay hain ke wo ek dosray se haath milaane aur qareeb jane se guraiz karen wahein musalmanoun ne bhi ek dosray se milne ka tareeqa tabdeel karliya hai. Khabar rasan Agency se guftagu karte huve Oman ke dar-ul-hukoomat Muscat ke rahaishioun ne kaha hai ke un logoun mein bohat ziyada khauf o heraas hai aur wo usay Corona Phobia ka naam day rahay hain, Mutadid afraad ne ek dosray se musafah karna aur gaal par bosa dena bhi chode diya hai.
Virus ke badhatay khauf ke baais Mutahidda Arab Emirat aur Qatar ne apne shehrioun ko mashwara diya hai ke wo naak se naak milaane ke riwayati andaaz se guraiz karen jabkay Abu Dhabi mein rehne waloun ko hidaayat di gayi ke sirf haath hila kar milna bhi kaafi hai. Muslim mumalik ne aalmi wabai marz ka muqaabla karte huve is ke alawa bhi baday pemane par iqdamaat bhi kiye hain. Dubai aur Abu Dhabi mein Gym, Awaami baagaat, aar kid aur aas paas. Stock Market ke tijarti Hall band hain, Agarchay Mutahidda Arab Emirat mein Restaurant khulay hain, Doosri khaleeji reastain ab sirf khoraak ki farahmi ki ijazat day rahi hain.
Qatar, Kuwait aur Saudi Arab mein Restaurant aur Caffee par pabandi ayed kardi gayi, Jabkay Oman ke dawakhanoun mein wo tamam Surgeries mansookh kardi gayi hain jin ko fori tor par karne ki zaroorat nahi thi. Pakistan ne Coronavirus ke baais Afghanistan aur Iran se munsalik sarhadoun ko bhi 2 haftoun ke liye band kardiya hai jabkay yakam June tak Schools ko bhi band karne ka elaan kardiya gaya hai. Sath sath awaami ijitmaat bashmole shadioun ki takrebaat par bhi pabandi ayed kardi gayi hai. Turkey mein hukoomat ne tamam Restaurant, Bars, Caffee, Shadi Hall, Cinema, Theatres aur Bachon ke khailne ki jaghoun ko band karne ka elaan kar diya. –YTN STAFF