Sunday, April 20, 2025
HomeSliderMasjid-e-Nabawi May naye jaanimaaz bechayenge

Masjid-e-Nabawi May naye jaanimaaz bechayenge

Madinah Munawwara: Masjid-e-Nabawi mein corona ahteyati tadabeer ekhtyar karte hue yakam Muharram se safen ( jaanimaaz ) bichenay ka aaghaz kar diya jaye ga. Idaara umoor Harmain ki janib se keh gaya hai ke bichai jaanay wali safoon par namazion ke darmain faasla mutayyan karte hue nishanaat bhi lagaye jayen ge. Saudi khabar-rasan agency SPA ke mutabiq coronavirus se bachao ke liye masjid Nabawi ke sehnon se musalley utha liye gaye they jabkay anay walon ko hidayat jari ki gayi theen ke apni jaanimaaz hamrah le kar ayen.

Madinah Munawwara mein idaara umoor Masjid-e-Nabawi ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke 1st Muharram 1442 hejri se Masjid-e-Nabawi ke sehno aur ki jaany wali towsee ke maqamat par jaanimaaz sabiq bichenay ke intizamaa kar liye gaye hain. Safen bichenay ka aaghaz yakam Muharram se kiya jaye ga. Intizamia ne mazeed kaha hai ke kaarkunon ko hidayat jari ki gayi hain ke safoon mein namazen ke liye faaslay ki nishandahi ke liye nishanaat lagayen. Bichai jaany wali safoon par ek namazi se dosray ke darmain kam az kam 180 centimeter ka faasla rakha jaye ga. Is hawalay se faasla rakhtay

Wazeh rahay coronavirus se bachao ke liye March 2020 ke awail mein Harmain mein bhi namazen bajamaat par pabandi aed ki gayi thi jabkay deegar masajid mein bhi ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue namazen bajamaat band thi. Coronavirus ki wajah se ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue mumlikat ke tamam shehron mai Curfew aur lockdown ka silsila Eid-Ul-Fitr taq jari raha. Baad azaa Curfew mein marhala waar narmi ki gayi aur masajid mein ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue khola gaya taham is douran namazen ke darmiyan faaslay ke usool par amal daraamad jari hai. Intizamia nay kaha hai ke ibtidayi marhalay mein 7 hazaar safen sehnon aur towsee maqamat par bichai jayen gi.