Monday, May 6, 2024
HomeSliderMasjid e Aqsa ko taqseem karne ki sazish: Mahmud Abbas

Masjid e Aqsa ko taqseem karne ki sazish: Mahmud Abbas

Falasteeni Sadar Mahmud Abbas ney khabardaar kya hai ke Israel Masjid e Aqsa ko musalmanoon aur Yahudion ke darmiyan taqseem karne ki saazish kar raha hai. Un ka kahena hai ke Qibla e awwal ki zamani aur makani taqseem ke sangeen natayij samnay ayen ge aur un ka zimma daar Israel hoga. Ramallah mein Tanzeem Azaadi e Falasteen ke aik ijlaas se khitaab mein unhon ney kaha ke ‘aik hassas masla Masjid e Aqsa ka hai jis ke baray mein Israel apni sazishain aur chaalein chal raha hai. Hamaray paas Israeli resha duwanyon ke thos shawahid maujood hain. Israel Musalmanoon ki tarha Yahudion ko bhi Masjid e Aqsa mein ibadat ka haq dilwana chahta hai. Dosray alfaaz mein Israel Masjid e Ibrahimi alsharif ki tarha Masjid e Aqsa ko bhi Yahudion aur Musalmanoon ke darmiyan zamani aur makani aitebaar se taqseem karna chahta hai. Khayaal rahay ke 1994 mein West Jordan ke shaher Al-Khaleel mein qaayim tareekhi Jamia Masjid Ibrahimi mein aik Yahudi daheshatgard ney namaz ada karne walay Falastinion par golian chalayein jis ke nateeja mein 29 namazi shaheed hogaye thae. iss ke baad Masjid e Ibrahimi ko Yahudion aur Musalmanoon ke darmiyan taqseem kardiya gaya tha. Masjid e Aqsa ki tarha Israel aur Yahudi Masjid e Ibrahimi ki malkiat ka bhi daawa karte hain. 1967 ke baad Israel ney Yahudion ko saiyahati maqasid ke liye Masjid e Aqsa mein dakhila ki ijazat dae rakhi hai magar Yahudi abaadkaar Qibla e Awwal mein ghus kar jabran Talmudi talimaat ke mutabiq mazhabi rusumaat bhi ada karte hain. Isi hawala se baat karte hue Sadar Mahmud Abbas ka kahena tha ke Masjid e Aqsa mein jo kuch ho raha hai iss ke baray mein hum Jordanian bhaiyon se salah wo mahswara kar rahay hain taakay hum aik muaqqaf le kar aalami adalat e insaaf se rujoo kar saken. Falasteeni Authority, Israel aur Jordan ke darmiyan taye paye moahida ke tahet Masjid e Aqsa aur Al-Quds mein maujood deegar muqamat e  muqaddisa ki nigrani, hifazat, mulazmeen ki tankhwahon ki adai aur deegar intizami umoor Jordan ke paas hain. Yaad rahay ke Musalmanoon ke Qibla e Awwal Masjid e Aqsa par Yahudion ke apna haq jatanay ki koshish ke talluq se ‘Y This News’ ney bahut pahelay hi aagah kardiya tha aur bataya tha ke kis tarha adalat ke zareya se Masjid e Aqsa mein bhi Yahudion ko ibadat ka haq dilanay ki saazish rachi jarahi hai .

mulahiza karen. .. .. .. . .

”Masjid e Aqsa” mein Yahoodion ko ibadat ka mauqa faraham karne ki saazish