Musalmanoon ke qibla e awwal Masjid Aqsa par ab Yahoodi apna haq jataney ki koshish kar rahay hain. Yaad rahay ke aik arsa daraaz se Yahoodi, Haikal e Sulemani ki taamer ke khawab dekh rahay hain. Yahoodion ke Talmudi aqaayed ke aitbaar se saari kaayenaat par un ke tasallut ke liye Haikal e Sulemani ki taamer bhi aik lahiqa hai aur who chahate hain ke Masjid Aqsa ko bhi Haikal e Sulemani mein shaamil karle. Yaad rahay ke Masjid Aqsa tulu e islam se hi Musalmanoon ke liye aik muqaddas muqam hai jis ki taraf rukh karte hue Musalmanoon ney kayi barson tak salaat ada ki thi. yahin par Allah ke Rasool sale Allahu alaihi wasallam ney Meraaj ke mauqa par anbiaye ki imamat ki thi. Haal hi mein Israel ki Supreme Court ney Benjamin Netayahu ki hukoomat ko hidayat di ke Mashriqi Yaroshallam ki Masjid e Aqsa Complex mein Yahoodi ibadat par derina imtena ka jawaz paish kere. Israeli roznaman ‘Maarive’ ney jummay ko report di ke Israel ki aala Adalati Authority ney hukoomat ko 60 din ki mohlat di ke woh wazahat kere ke maqam Muqaddisa ke nuqta ishtiaal par Yahoodion ko ibadat karne se rokay rakha gaya hai. Adalat ney aik NGO ‘Israeli Center for the Promtion of Democracy and Human Rights’ ki janib se daakhil kardah aik darkhwast par hukoomat se wazahat talabb ki hai. Iss tanzeem ney usay Masjid ke Complex mein ”ghair Muslim par hukoomat ki tahedidaat” se taabeer kya hai. Darkhwast mein kaha gaya ke Israeli Police wazeh taur par imtiyaazi Polices ( Yahoodion ke khilaaf ) ko laago karne apne ikhtiyarat ka istemaal kar rahi hai jo haq e ibadat ki khilaaf warzi hai. NGO ney kaha ke temple mount (yani Masjid al Aqsa Complex ) mein ghair Muslim visitors ke dakhila par imtina kayi dahon se hai. Yaad rahay ke Israeli hukkaam ney 2003 se Yahoodion ko Masjid al Aqsa Complex mein Yahoodi settlers ko izafi tadaad mein dakhla ki ijazat di hai taham hanoz inhen androon e Masjid ibadat karne ki ijazat nahi hai. Israel ney 1967 ki Arab-Israel jung mein mashriqi Yaroshallam par qabza kar liya tha jis ko aaj tak aalmi bradari ney qubool nahi kya hai. Aisa lagta hai ke Masjid Aqsa ko mukammal taur par apne qabza mein kar laney ki aik saazish ke taur par adalat ko istemaal karne ki koshish ki jarahi hai jis ke zareya pehlay Masjid Aqsa ke Islami takaddus ko khatam karte hue usay Musalmanoon aur Yahoodion ke liye mushtarik muqaddas muqam ke taur par taslim krwa liya jaye aur baad azan yahan se Musalmanoon ko mukammal taur par be-dakhal kardainey ke baad usay munhadim karte hue Haikal e Sulemani ki taamer ko yakeeni banaya jaye.
Masjid Aqsa ki be hurmati ke nataij ka zimma daar Israel hoga : Auqaaf
Falasteeni mehakuma Auqaaf aur Mazhabi Umoor ki taraf se jari aik bayan mein kaha gaya hai ke Qibla e Awwal par Musalmanon ke siwa kisi aur qoam ka koi haq nahi. Qibla e Awwal ko nuqsaan pouncha to is ka zimma daar Israel hoga. Masjid Aqsa ka 144 donam ka Raqba khalis Qibla e Awwal ke liye waqf hai jisay kisi dosray maqsad ke liye istemaal nahi kiya ja sakta aur na hi is par kisi doosri qaum ka koi haq hai. Falasteeni mehakuma Auqaaf ki taraf se yeh bayan Israeli hukkaam ki taraf se is iqdaam ke radd e amal mein jari kya gaya hai jis mein sehyoni hukkaam ney police se Yahoodi abaadkaron ko Qibla e Awwal par dhaavon se rokney aur Talmudi taalimaat ke mutabiq mazhabi rusomaat ki adayigi se mana karne ki wazahat talabb ki hai. Wizarat e Auqaaf ke bayan mein kaha gaya hai ke Masjid Aqsa sehyoni riyasat ke kisi qanoon ki paband nahi aur na hi sehyoni riyasat ko Qibla e Awwal par koi ikhtiyar haasil hai. Qibla e Awwal par sirf qanoon Rabbani nafiz hota hai aur wohi qanoon hai jo Masjid e Aqsa ke Islami tshakhus ki baqaa ka zamin hai. Bayan mein khabardaar kya gaya hai ke Masjid e Aqsa ke barey mein sehyoni riyasat ke tamam qawaneen aur faislay na qabil e qubool hain. Unhon ney khabardaar kya hai ke intahaa pasand Yahoodi abaadkaron ko Qibla e Awwal par dhaavon ki ijazat dena mazhabi jung chhaidney ke mutradif hai.