Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsMasjid Aqsa ko Eid Ul Fitr ke baad kholnay ka elaan

Masjid Aqsa ko Eid Ul Fitr ke baad kholnay ka elaan

Ramallah: Bat Ul Muqaddas mein Islami uqaaf council ney coronavirus ko phelnay se roknay ke liye 2 mah ki pabandi ke baad Masjid Aqsa Eid Ul Fitr ke baad namazyoun ke liye kholnay ka elaan kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq Al Quds Islami uqaaf council ney bayan mein kaha ke Masjid Aqsa kholnay ke tareeqakar se jald aagah kiya jayega.

Masjid Aqsa ke Director Sheikh Omar Al-Kuswani ne kaha hai ke Masjid Aqsa juzwi tor par nahi kholi jayegi aur nah Namaz ke liye Masjid anay waloun ki tadaad mutayyan hogi. Al-Koswani ne kaha ke uqaaf council Masjid Aqsa dobarah kholnay se mutaliq tamam tafseelaat ka elaan keregi aur elaan se qabal har pehlu ka jaiza liya jayega taakay Virus se bachney ke liye muqarrar sahet zawabit ki khilaaf warzi ka ilzaam nah lagaya ja sakay. Yaad rahay ke Al Quds Islami uqaaf council ne March mein Namazioun ke Masjid Aqsa anay par pabandi coronavirus ko phelnay se roknay ke liye aarzi tor par lagai gayi thi. –YTN STAFF