Mecca Mukaramah: Masjid Al-Haram ki intizamia ne zaireen ko aamad o raft mein sahoolat faraham karne aur matlooba maqam tak pounchanay mein rahnumai ke liye 514 Board nasb kiye hain. Tafseelaat ke mutabiq Haram Shareef mein daakhil honay ke baad zaireen baaz auqaat wo ye bhool jatay hain ke wo kis simat se daakhil hue thay aur kis darwazay se inhen bahar jana hai.
Aisay masail ko hal karne ke liye Masjid Al-Haram ki intizamia ne rehnuma Boards nasb kardiye hain. Tanseeb ka pehla marhala mukammal hochuka hai. Safa aur Marwah se mutaliq rehnuma Board tayyar karliye gaye hain aur jald hi inhen nasb kiya jayega.
Yaad rahay ke Masjid Al-Haram ki intizamia ne Haram Shareef ki imarat ke lehaaz se rehnuma Board ke rang, Hajam aur shakal o soorat Design karaye hain. Is baat ka khayaal rakha gaya hai ke zaireen rehnuma Boards aur un ke rang dekh kar hi apni manzil se aagah ho jaien. Boards Arabi aur Angrezi 2 zabane tehreer hain. Alawa azeen rehnuma Boards ke liye Safa aur Marwah dono ke darmain ka ilaqa, Masjid Al-Haram ki teesri Saudi towsee walay hissay, Mutaf aur taharat khaanoon ka intikhab kiya gaya hai.
Wazeh rahay ke guzashta mah Mecca Mukaramah mein Masjid Al-Haram ki intizamia ne Masjid ke darwazoun ki roshan aur wazeh rangoun se nai numbering ki hai. Ye faisla bhi zaireen ki sahoolat ke liye kiya gaya hai. Masjid Al-Haram ki intizamia ne king Fahd Wali towsee hissay ke Gate 79 se roshan aur o azh rangoun se numbering ka tajurbah shuru kiya hai. Is tajarbay ka ka jayezah liya ja raha hai. Kamyabi ki soorat mein Masjid Al-Haram ke tamam darwazoun ki roshan rangoun se numbering ka silsila shuru kardiya jaye ga.
Roshan aur wazeh rangoun se Haram Shareef ke darwazoun ki numbering Arabi aur Angrezi dono zabanoun mein ki gayi hai. Haram Shareef ke darwazoun ki qadeem numbering zaireen ko wazeh nazar nahi aati thi. Nai numbering wazeh hai. Number dayen se baen ki janib tehreer kiye ja rahay hain. Usay raat aur din dono waqt mein aasani se padha jasakay ga. Zaireen kaafi faaslay se kisi bhi darwazay ka number aasani se dekh saken ge. –YTN STAFF