Makkah Mukarramah : Duniya bhar se lakhoun zaireen Rabi-ul-awal mein ibadat, Umrah aur ziyarat ke liye Masjid al-Haram pohanch rahay hain. inhen namaz, tilawat aur ibadat ke liye meyaari sahulaten faraham ki jarahi hai isi ke tanazur mein ab Masjid al-Haram mein senkdoun naye qaleen bicha diye gaye hain.
Tafseelaat ke mutabiq Masjid al-Haram ki intizamia ney sehan haram mein puranay qaleen hata kar naye 1200 qaleen bicha diye gaye. intizamia ke matehat safai aur farsh intizamia ke director ney kaha hai ke mamool ke mutabiq Masjid al-Haram ki tamam manziloun, sehnoun aur chathoun ke qaleen tabdeel kiye jarahay hain.
Unhoun ney mazeed kaha hai ke Masjid al-Haram aur Masjid-e-Nabavi ki intizamia ke sarbarah aala Sheikh Dr Abdul Rahman al sudes ki hidaayat par sehan haram mein puranay qaleen hata kar 1200 naye qaleen bichaa diye gaye hain. intizamia ek janib to qalinoun ki musalsal safai ka ihtimaam kar rahi hai to doosri janib inhen muattar karne ke intizamaa bhi kiye jarahay hain. agar koi qaleen kisi wajah se kharab hojata hai to fori tor par usay theek kiya jata hai jabkay safai ka ba-qaida ihtimaam kiya jata hai. iske liye khusoosi shoba qaim kiya gaya hai.
Yaad rahay ke Masjid al-Haram aur masjid-e-Nabavi mein lakhoun zaireen ko behtar se behtar sahuliyaat faraham karne ke har mumkina koshish ki jati hai jis mein wahan ke taiz mausam se awam ko mehfooz rakhnay ke liye thanday kiye jaane walay har intizam ke alawa zam zam ke har lamha dasteyabi, masajid mein behtar qaleen aur deegar zaroriat ki ashiya faraham karna ahem hai. –YTN STAFF