Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsMasjid Al Haram ko mu-attar aur Sanitize karne ke liye 3500 afraad...

Masjid Al Haram ko mu-attar aur Sanitize karne ke liye 3500 afraad ki khidmaat

Mecca: Hajj mausam 2020 mein 3500 safai karkun Masjid Al Haram ko mu-attar, Sanitize aur saaf suthra rakhnay ka fareeza anjaam day rahay hain. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Haram Macci ke shoba intizami umoor ke secretary Mohammad Al Jabri nay kaha hai ke Masjid Al Haram ki intizamia Haram Shareef ke qalinoun ko saaf karne aur inhen coronavirus se mehfooz bananay ke liye ek idaara qaim kiya hai.

Masjid Al Haram, Is ke kharji sehno, Idaroun ki rozana 10 martaba safai ki jarahi hai. 3500 karkun jin mein khawateen bhi shaamil hain aala darjay ki khushbu se Masjid Al Haram ko mu-attar kar rahay hain. Ye khushbu khaas tor par Haram Shareef ke liye haasil ki gayi hai. Alawa azeen awwal darjay ke Sanitize aur bohat umdah qisam ki jaraseem kash adwiyaat bhi istemaal ki jarahi hain.

Al Jabri ne kaha hai ke Haram Shareef ko dhoney ke liye rozana 54 hazaar Liter jaraseem kash madah istemaal kiya ja raha hai. Haram Shareef ko dhoney ke liye 95 Machine istemaal ki jarahi hain. 2400 liter Santize karne wala madah istemaal ho raha hai. 900 Liter madah hathoun se Sanitize karne mein kharch ho raha hai. 1050 Liter mu-attar karne ke liye istemaal ki jarahi hain.

Al Jabri ne kaha ke Hajj aur ziyarat par anay waloun ke liye khidmat hamaray liye aizaz ka baais hai. Intizamia ki har mumkin koshish ye hai ke Haram Shareef ke zaireen sahoolat aur aasani se ibadat karen aur unhe kisi kesam ki zehmat nah un.