Wednesday, May 14, 2025
HomeSliderMasjid al-Haram ke naye towsee mansoobay jald mukammal honay ka imkaan

Masjid al-Haram ke naye towsee mansoobay jald mukammal honay ka imkaan

Jeddah: Mecca Mukaramah may Masijid ul-Haram ki nai towsee ke mansooboun par taizi se kaam jari hai. naib Governor Mecca Mukaramah shehzada Badar bin Sultan bin Abdul Aziz ne towsee mansoboun ka dora karkay kaam ki raftaar aur pesh anay wali rukawatoun ka jaiza liya hai. tafseelaat ke mutabiq shehzada Badar Bin Sultan ne Baab Ismail ke jari tamirati kaam ka bhi muaina kiya. Baab Ismail naye Hajj mausam se qabal mukammal hojaye ga. naib Governor Mecca Mukaramah ne qadeem dalaan aur takbir-o-azaan ke naye kamray ( Macberya ) ki taamer ka bhi muaina kiya. ye aindah Ramzan tak mukammal hojaye ga. baab Omra ki tamirat ka kaam bhi taizi se jari hai.

Mataaf  ki mehraboun ka mansoobah taizi se mukammal kiya ja raha hai. ab tak 14 mehrabein tayyar hochuki hain. majmoi tor par 38 mehrabein banai jayen gi. tawaqqa ye hai ke aindah mah Ramzan se qabal tamam mehrabein paya takmeel ko poanch jayen gi. Masjid ul-haram may towsee ke jari mansoobay mukammal honay par 1.85 Million afraad Namaz ada kar saken ge. naye towsee mansooboun ke tehat 680 barqi zeenay tayyar hon ge. 168 Gate hon ge. saat bijli Station qaim kiye jayen ge. 3 Transport Station banaye jayen ge jo ek ghantay may 3 Lakh 3 Hazaar afraad ko Transport ki sahoolat faraham karen ge. –YTN STAFF