Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsMashriq wasti ki labor Market bhorani soorat e haal ka shikaar

Mashriq wasti ki labor Market bhorani soorat e haal ka shikaar

Kuwait City: Coronavirus ki waba nye mashriq wasti mein Labor Market ko buri terhan mutasir kiya hai. Bairooni mumulk ke lakhoon mulazimeen ke paas apna samaan bandh kar rawana honay ke siwa koi rasta nahi raha. Gulf talent ke tajziakar ne kaha hai ke 2019 se mulazimat se mutaliq sargarmi mein 50% kami waqay hui hai. Kuwait mein maeeshat ki tanzuli ke baais hukoomat ki taraf se companiyoun ko afraadi qowat mein kami par majaboor kiye jaaane se tawaqqa hai ke 15 lakh beroun mumulk ke mulazimeen 2020 ke aakhir tak mulk chod kar chalay jayen ge.

Kuwait Assembly speaker Marzouq Al-Ghanim ne kaha ke aisay tarkin ju nakawenda ya sirf padh aur likh satke hain tarjeeh nahi thi. Jadwa Investment company ke taaza tareen adad o shumaar ke mutabiq Saudi Arab mein is saal 12 lakh beroun mumulik mulazimeen ke mumlikat chodne ki tawaqqa ki jarahi hai. Misar today ne Chember of commerce mein tarkin se mutaliq Employment Unit ke sarbarah Hamdi Imam ke hawalay se kaha ke Misar mein ek andazay ke mutabiq Arab mumulik mein kaam karne walay 50 lakh misrion mein se 10 lakh khusoosi khaleeji mulkoun se 2020 ke aakhir tak nikaal diye jayen ge.

Unhoun neh mazeed kaha ke Saudi Arab neh jahan 30 Lakh Misri kaam kar rahay hain mutadid mega Projects moattal kardiye hain. Unhoun neh mazeed kaha aur Kuwait mein bohat se misrion ke paas mulazimat ke muahiday nahi hotay kyunkay wo be qaida karkun hain Expire rehash permit rakhtay hain jis ki wajah se inhen mulk chhodna padta hai.

Gulf talent tajzia nigar ne mazeed kaha hai ke tankhwahoun mein bhi numaya kami hui hai jis ki wajah se darkhwast dahindgaan corona ki waba se pehlay se kahin kam tankhwahoun ki tawaqqa kar rahay hain. Feb 2020 mein mulazimat ke mutlashi afraad tawaqqa rakhtay they ke agli mulazimat mein apni sabiq mulazimat se osatan 14 feesad ziyada thankhowa miley gi lekin aaj ki market mein mutawaqqa osat thankhowa mehez 2 feesad ziyada hai.

Gulf talent ki ek report mein kaha gaya hai ke June mein UAE mein mulazimat ke mawaqay qadray badhay hain lekin is ke bawajood wo March mein schools ke band honay se pehlay ki satah se kam hain. Times of Amman ke mutabiq Feb ke baad se saltanat ke Nationalization mansoobay ke tehat Amani bashindoun ko Technic ohdoun par rakhnay ki tajweez ke baais shoba sehat ke idaroun mein kaam karne walay ghair mulkioun ki mulazimaten khatray mein hain.

UAE mein medical Professional ki talabb mein COVID-19 ke philao se pehlay ke muqablay mein izafah dekha gaya hai. Darkhwast dahindgaan ko Feb ke muqablay mein April mein 18 feesad ziyada Interviews ki calls mousool hui hain. Gulf talent ke tajzia nigar se jab 2020 ke aakhir tak Labor market ke baaray mein raye poochi gayi to unhoun ney kaha ke corona ki waba aur tail ki kam qeematoun dono ki mojoodgi ke baais khittay ke beshtar mumulik mein kasaad bazari ki pesh qiyaasi ki gayi hai. Mulazimatoun mein mazeed kami jari rahay gi.